Chhuttiya Kaise Manaye - Holiday Enjoy Kaise Kare

Share:



    Chhuttiya Kaise Manaye - Holiday Enjoy Kaise Kare
    Chhuttiya Kaise Manaye -
     Holiday Enjoy Kaise Kare

    Chhuttiya Kaise Manaye


    Dosto, aaj ka humara title hain chhuttiya kaise manaye ya holiday enjoy kaise kare. Toh aap log bas iss post ko acchi tarah se read kariye.


    Chhuttiya kaise manaye tips

    1. Kahi ghumne ke sath chale jaye

    Chhuttiyo main hum ekdam free hote hain. Iss time par humare paas koi kaam nahi hota hain. Yahi woh waqt hota hain jab hum apne mann ke anusaar kahi bhi ja sakte hain aur kuchh bhi kar sakte hain. Jab humara school ya college chalu rahta hain tab hum chah kar bhi kahi par nahi ja sakte aur mann ka kuchh bhi nahi kar sakte. Kyun ki iss time par hum apne school aur college main hi busy rahte hain.

    Jab hum school ya college jate hain tab humara pura din ussi main nikal jata hain aur ghar akar jo thoda bahut samay milta hain woh time humare padhayi aur homework karne main hi nikal jata hain. Aur inn sare kaamo ko complete karke agar hum thoda waqt nikal paye toh uss main hum koi ghar ka chhota motta kaam kar sakte hain ya TV dekhkar, music sunkar apne mind kar sakte hain.

    Toh iss tarah se jab humari study chalu rahti hain tab hum har waqt busy hi rahte hain. Kabhi kabhi humara bhi mann karta hain ki hum kahi bahar ghumne ke liye jaye lekin samay na hone ke wajah se hum kahi bhi nahi ja pate hain. Toh ayese saukh ko pura karne ke liye sabse accha mauka hota hain jab humari chhuttiya aati hain. Ayese waqt main hume padhayi likhayi ka koi tention nahi hota aur hum free hokar kahi bhi ghumne ja sakte hain aur apni zindagi ke kuchh palo ko acchi tarah se enjoy kar sakte hain.

    1. Apni hobbies ko pura kare


    Jab hum sochte he chhuttiya kaise manaye toh har insan ka alag alag cheez main interest hota hain. Hum sab logo ki kuchh na kuchh hobbies hoti hain jinko hum apne samay ke abhav ke wajah se pura nahi kar pate hain. Ayese saukh ko pura karne ke liye humare paas sabse uchit samay hota hain humare chhuttiya. Jab humare paas karne ke liye kuchh khas kaam nahi hota tab sahi samay hota hain kuchh ayesa karne ka jis kaam ko karne main humara interest hain. Kuchh logo ko drawing karna bahut accha hota hain toh kuchh logo ko poetry likhna bahut accha lagta hain. Kuchh logo kaam ko singing main bahut ruchi hota hain toh kuchh logo ko dancing main bahut ruchi hota hain.

    Toh ayese saukhs ko pura karne ke liye humare paas samay nahi hota toh humara saukh kahi mann main hi dabb jata hain. Chhuttiyo ke samay hume jab waqt milta hain toh uss samay hume inn saukhs ko pura kar lena chahiye. Inn samay main humara dimag main tension free rahta hain toh yeh waqt bilkul sahi hota hain humare liye humare hobbies ko pura karne ke liye.

    1. Aap jis cheez main kamjor ho usko develop kar sakte hain

    Jab aap logo ki chhuttiya start ho tab aap logo ko apni kamjori ko dur karne ka prayas karna chahiye. Har insan kisi na kisi cheez main kamjor hota hain toh chhuttiyo main hi unko apni problem ko dur kar lena chahiye taki baad main unko koi pareshani ka samna na karna pade. Humare desh main maximum log ayese hain jinko english thik se nahi aata hain. Unko english bolne main problem hoti hain. Ayese main unn logo ko apni chhuttiyo ko ayese hi waste nahi karna chahiye aur chhuttiyo ke samay main unko jitna ho sake apne english ko mazbut kar lena chahiye taki jab padhayi start ho tab unko syllabus ko complete karne main jada pareshani na ho.

    Agar unko khud se english ko samajhne main pareshani ho rahi hain toh woh kisiki help le sakte hain aur apne english ko develop kar sakte hain. Thik ussi tarah kuchh logo ko math acchi tarah se samajh main nahi aata hain jiske wajah se claas main unka syllabus aage nikal jata hain. Woh pichhe hi rah jate hain aur exam ke samay tak woh apne syllabus ko complete nahi kar pate aur unke result acchhe nahi hote.

    Toh aise main jab unki chhuttiya suru ho tab unko apni komjori ko dur kar lene ka prayas karna chahiye. Unko jo baat samajh main nahi aati uss cheez par unko jada focus karna chahiye aur apni problems ko dur kar lena chahiye. Lekin unko iske liye jada pressure lene ki zarurat nahi hain. Apni chhuttiyo ki enjoy karte hue hi unko yeh sab kaam karna chahiye.



    1. Nayi nayi chhezo ko try karna chahiye

    Hum apne saal ka ek lamba waqt school ya college aur padhayi main hi nikal dete hain. Ayese main hum dusri chhezo main dhyan nahi de pate aur nahi nayi cheezo ko try nahi kar pate hain. Toh jab humari chhuttiya start hoti hain tab hi hume nayi nayi chhezo ko try karke dekhna chahiye. Khel kud main bhi bhag lena humare liye accha hota hain. Kahi kahi hone wali functions main dance competition, singing competition, drawing compititon etc. hote hain.

    Toh hume apne chhuttiyo ke samay mile kuchh aram ke palo ko ayese hi waste nahi karna chahiye aur inn compititons main hissa lena chahiye aur apne personality ko develop karne ki koshish karni chahiye. Aap logo ko agar thoda bahut dance aata hain ya singing aati hain ya kisi khel main aap log thode mahir hain toh aap logo apne chhuttiyo ke samay main inn compititons main hissa lena chahiye aur apni chhuttiyo ko acchi tarah se enjoy karna chahiye.

    Toh dosto! Hume nahi lagta ki ab aap logo ko kisi aur tip ki zarurat hain. Ab aap puri tarah samajh gahe he ki chhuttiya kaise manaye and holiday enjoy kaise kare. Humne iss lekh main aap logo ko kuchh sujhav diye hain ki aap logo ko apni chhuttiyo ko kaise manana chahiye. Baki agar aap logo ke paas aur koi badhiya sa plan hain fir toh koi baat nahi. Hum aap logo ko yahi salah denge ki aap log apne uss plan ke hisaab se hi apni chhuttiyo ko manaiye.

    Lekin agar nahi hain toh yahi kahenge ki aap log inn tips ko pahle acchi tarah se read kariye. Uske baad hi yeh decide kariye ki aap logo ko inn main se kaun sa tarike se chhuttiya kaise manaye and holiday enjoy kaise kare. Aap logo ko ji tarika accha lage ussi tarike se aap log apni chhuttiyo ko enjoy kariye.


    how to