Non Veg Khane Ki Aadat Kaise Chhode - नॉन वेज खाने की आदत कैसे छोड़े

Share:



    Non Veg Khane Ki Aadat Kaise Chhode


    Dosto! Aaj ke hum janenge ki Non Veg Khane Ki Aadat Kaise Chhode. Toh ab aap logo se yahi request hain ki aap log iss post ko acchi tarah se read kariye aur iss lekh main diye gaye tips ko follow kariye. Chaliye jante ki kaise aap apni  NonVeg Khane Ki Aadat Chhod sakte hai.


    Nonveg khane ki aadat kaise chhode - tips


    Ek hi baar main non veg ko chhodne ka prayas na kare


    Kuchh logo ko agar nonveg chhodna hota hain toh ek hi baar main non veg ko chhod dene ka prayas karte hain. Lekin ayesa karna bilkul bhi sahi nahi hain. Agar hum ek hi baar main nonveg ko chhodne ka prayas karenge toh aap nonveg khana kabhi bhi nahi chhod payenge. Isse accha hain ki aap log dheere dheere hi non veg khana chhodne ka prayas kare.

    Aap logo ko agar non veg khane ki aadat ko chhodna hi hain toh aap log nonveg khana khaye. Lekin kabhi agar aapka nonveg khane ka bahut mann kare toh aap log apni iccha ko ignore na kare aur non veg banakar kha ke. Jab aap non veg mann bhar kar kha lenge toh aap logo ka mann shant ho jayega. Uske baad kuchh dino tak aap logo ko non veg khane ka mann nahi karega. Iss tarah se aap log fir tab tak non veg na khaye jab tak aap logo ka nonveg khane ka pura mann na kare.

    Iss tarah se kuchh dino tak karne se aap logo ka non veg khana kam ho jayega. Jaise ki agar aap log ek week main 3-4 baar non veg khate hain toh ab ek week main sirf 1 baar hi nonveg khaye ya fir agar possible ho toh 2 week main 1 baar nonveg khaye. Iss tarah se dheere dheere karke aap log ek month main ek baar non veg khane lagenge aur dheere dheere karke aap logo ka nonveg khane ko jada mann nahi karega. Kuchh waqt main aap logo ki non veg khane ki aadat bilkul chhut jayegi.

    Mann hatt jata hain


    Kabhi kabhi kuchh logo ka mann hatt jata hain aur woh log non veg khana khud ba khud chhod dete hain. Kabhi kabhi kya hota hain kuchh logo ko pata nahi andar se kya ho jata hain ki woh log non veg khana bilkul hi chhod dete hain. Ayese main unn logo ko chahe koi bhi kitna bhi samjhaye lekin woh log non veg nahi kha pate. Agar kabhi kisi ki jabardasti ya dabav main aakar woh log non veg kha bhi lete hain toh unko ulti jaisi feeling hone lagti hain ya ulti as jati hain. Uske baad woh log kabhi bhi non veg nahi khate hain.

    Dusra koi bhi unko on veg khane ke liye yeh sonch kar force nahi karta ki agar unn logo na unko non veg khane ke liye force kiya aur fir se unhone ulti begera kar diya ya fir unki tabiyat kharab ho gayi toh fir thik nahi hoga. Toh ayese main hume kuchh karne ki zarurat padti hi nahi. Kabhi kabhi koi incident ayesa ho jata hain jiske karan humara mann hatt jata hain. Hume non veg khane ka bilkul bhi mann nahi karta hain. Toh ayese main humari non veg khane ki aadat khud ba khud chhut jaye.

    Veg khane main interest le


    Veg khane main interest le aur veg khane ke liye naye naye recipes ko try kare. Agar aap logo ko non veg khane ki aadat ko chhodna hain toh aap logo ko veg khane main hi interest lena hoga. Aap log veg khane ko acchi tarah se pakane ki koshish kare. Taki aap logo ko veg khane main hi interest aane lage aur non veg khane ki or mann na jaye. Aap veg khane par hi naye naye recipes ko try karke non veg ki tarah pakane ka try kare. Aap logo ko jaise jaise veg khana khana accha lagne lagega wese wese aap log nonveg khane se dur hote jayenge.

    Iss tarah se aap log non veg khane ki aadat ko easily chhod denge. Toh hum aap logo ko yahi salah denge ki aap log veg khane ko hi behtar se behtar banane ki koshish kare. Aap log naye naye vegetables ko kharide aur unn sabjio ko ghar par acchi tarah se pakane ki koshish kare. Aap log daal aur baki sukhi sabjio ko bhi acchi tarah se pakaye. Wese dekha jaye toh nonveg khane ke mukable hum veg khane ko agar acchi tarah se banana chahe toh sayad veg khana hi non veg khane se jada accha lagega.

    Non veg khane ko na dekhe aur uska sugandh na le


    Aap log agar non veg khane ki aadat ko chhodna chahte hain toh aap logo ko nonveg khane ki or dekhna bhi nahi hoga. Kyun ki jab aap log no veg khane ko dekhenge toh aap logo ka mann nonveg khane ko zarur karega. Jab nonveg khane ki khusbu aapke naak main jayegi toh aap khud ko nonveg khane se rok nahi payenge. Isiliye aap log kabhi nonveg khane ke paas na jaye aur nonveg khane ki sugandh ko apni naak main na ghusne de.

    Kuchh dino tak aap log continue iss tarah se nonveg khane se khud ko dur rakhenge toh aap log non veg khane ko kuchh hi dino main puri tarah se bhul jayenge aur nonveg khane ke taste ko bhi bhul jayenge. Isiliye humari aap logo se yeh salah hain ki aap log agar non veg khane ki aadat ko chhodna chahte hain toh aap log humari iss salah ko zarur mane. Ek baar iss trick ko ajmakar zarur dekhe.

    Toh dosto! Hume nahi lagta ki ab aap ko aur kisi trick ki zarurat hain non veg khane ki aadat ko chhodne ke liye. Bas aap logo ko zarurat hain ki aap log iss lekh ko acchi tarah se read kariye. Iss lekh main diye gaye tricks ko acchi tarah se follow kariye. Hume puri tarah se ummid hain ki iss post main diye gaye tips ko follow karne ke baad aap logo ki non veg khane ki aadat bahut zaldi bilkul chhut jayegi.

    how to