Gaming Ka Graphics Kaise Sudhare - Best Graphics Tips

Share:



    Gaming Ka Graphics Kaise Sudhare


    Hello friends, aaj ka hamara topic he gaming ka graphics kaise sudhare? Aaj sabhi game khelna pasand karte hai chay vo apka mobile hoy a apka computer usme apko koi na koi game installed toh milta hi hai. Jaise logo ka gaming me interest badha hai uske sath hi games banane valo ki earnings bhi badh gayi hai. Kyon ki agar apka game logo ko pasand aata hai toh vo apke game ko download karte hai. Ek dusre ko share karte hai. Apne scores ya academics social media par share karte hai. Toh isse apki marketing bhi ho jati hai or apka game logo ko pasand bhi aa jata hai.

    Agar aap bhi game banate hai par apko itne users nahi mil rahe jo apke game ko pasand kare iske liye apko apne game ko attractive banane ki jarurat hai. Ye kam aap kar sakte hai apne game ke graphics ko improve karke. Kyon ki agar aap apne game me ache graphics nahi use karoge toh apka game ka look user ko pasand hi nahi aayega. Chahe apka game kitna bhi acha kyu na ho apko user kam hi milenge. Par aap bhi apne game ke graphics ko sudhar sakte hai.

    Iske liye apko kuch strategies ko follow karna hoga. Kyon ki game graphics ko desing karne ke liye kuch principle hote hai jinhe apko follow karna hota hai. Isse apka game bhi better lagta hai or user ko kafi jyada pasand bhi aaega. Isse apke game ke download badh jaenge or apka profit bhi isse kafi jada hoga bas apko apne game ko design users ki need ke hisaab se karna chayie. Toh chaliye jante hai aisi tricks jishe use karke gaming ka graphics kaise sudhare.

    Gaming ka graphics kaise sudhare


    1. Strong composition par focus kare


    Iske liye apko apne game me job hi elements ko use karna hai. Ushe apko dusre elements se ache se jodna hoga. Iske liyekuch main principles hote hai jinhe apko apne dhayan me rakhna hota hai.


    • Scale & proportion

    • Repetition & contrast

    • Balance

    • Emphasis

    • Hierarchy

    • Harmony

    • Unity

    Apko in sabhi ko ache se samajhne ki jarurat hogi tabhi aap apne game ke liye ache graphics ko bana sakte ho. Kyon ki ye principles apke creation ko analyze karenge or apke game ke graphics ko improve karne me help karenge.

    1. Clear layouts rakhe


    • Apke apne design ka layout clear rakhna hoga. Apko apne objects ke beech me space or proportion ko balance karke chalna hoga. Agar apke layout me job hi elements use kiye gaye hai unhe aise fix karna hoga jisse dekhte hi sab kuch samajh aa jaye. Isme apko lightning or color ka balance bana ke chalna hoga sabhi elements jo aap game me use karoge sabko layout se clear design dena hoga.

    • Aap jo bhi path create karenge user ke liye pure game me uske liye clear hona chayie. Game khelte hue player ko samajh aana chayie aage ushe kya karna hai. Jisse apke game me visusality bani rahegi. Aap jo bhi elements apke game me use karoge use color. Brightness sabhi bato ka apko dhayan rakhna hoga. Apko apne game ke colourful objects ko select karna jisse apke game me attractiveness aaegi. Or user ko game ka jo interface milega isse hi vo apke game se impress honge.

    • Apko apne game ke gui ko players ko dhayan me rakh kar design karna hoga. Jisse user game khelte hue real world ko feel kare. Apka game ka motive aisa hona chayie jaise koi real life me character ho. Apka gui user ko screen ke sath attach rakhe. Isse apke game ke grapihcs increase hoga or apke game ko user pasand karenge.

    • Motherboard / System / CPU Version Kaise Check Kare?

    1. Depth ka use kare


    Ye ek or tarika hai jisse aap graphic elements ke beech relation bana sakte hai. Iske liye apko sahi size or proportion depth ke sath use karna hoga. Jisse player game world ko feel kar paega. Depth ka use karne par ye apke graphics me effect badha dega. Isse apke foreground or background me difference hoga iske liye abko background or foreground me lightning difference karna hoga.


    1. Vibrant colours ka use kare


    Colors kisi bhi image ko effective banane ke liye best tool hote hai. Apko apne game me colors ko bright or high rakhne honge isse apke game ke visuals effect bad jaenge. Iske liye apko good colour scheme ka use karna hoga. Jaise example ke liye aap apne game me mountain. Sky or rivers ka use karte hai toh apko inke according hi color ka selection karna hoga jisse apke game me ye sabhi clear najar aae inke beech me jo difference hota hai vo jana nahi chayie toh apke liye best color composition ko select karna hoga.

    1. Feedback jarur le


    Apko apne game ke liye players se feedback jarur lena chayie. Kyon ki jo log apke game ko khel chuke hai. Unhe pata hota hai apke game me kya change hoga chayie jiski vagah se apke game ke graphics or better ho sakte hai. Iske liye apko users se feedback lena hoga. Kyon ki apke game ki sabhi mistakes ek player se better koi nahi nikal sakta. Iske liye apko apne game ke liye reviews ko collect karna hoga. Fir apko in sabhi reviews ko analyze karna hoga. Ab apko isme se vo sabhi points or change apke game ke liye apply karke dekhne honge. Iske bad apke liye positive feedback aane lagege or apke game ke graphics better ho jaenge.


    1. A & b test

    Ye ek tarah ki technique hoti hai. Iske liye jab aap apne game ko complete design kar lete hai aap iska ek version user ke liye available kara dete hai. Ab user apke game ko khelte hai or iske liye apni testing shuru karte hai. Fir apka apni game ki ratings ko users se lena hoga sabhi users apne experience se apke game ko kuch ratings denge or apko kuch changes suggest bhi karenge. Ye a test hota hai jab aap pahli bar user se interect hote hai. Ab apko pata hona chayie apko apne game ke liye b test kaise karna hoga.

    Apko iske liye users ki pahli rating ke baad apne game me improvement karna hoga. Iske baad apko is game ko phir users ke beech lana hoga or changes ke baad ki ratings apko note down karni hogi isse apka dono test ke result mil jaenge. Agar apke game ki ratings badh gayi hai toh apne sahi direction me kaam kiya or apka game users ko pasand aaega. Par agar apke game ki ratings kam hai toh apko sabhi gaming principal ka use karke apne game ke graphics ko phir se design karna hoga jisse apka game attractive bhi lagega or users ko pasand bhi aaega.

    Umeed he ki aap gaming ka graphics kaise sudhare samajh gaye honge. Upar bataye gaye sabhi steps ko dhayan me rakh kar aap apne game ke graphics ko pahle se better bana sakte hai.
    how to