Garmi Me Ghar Ko Thanda Kaise Rakhe - घर को ठंडा कैसे रखे

Share:



    Garmi Me Ghar Ko Thanda Kaise Rakhe
    Garmi Me Ghar Ko Thanda Kaise Rakhe

    Garmi Me Ghar Ko Thanda Kaise Rakhe


    Aaj ke humare iss post ka topic hain Garmi me ghar ko thanda kaise rakhe. Toh aap log bas iss lekh ko acchi tarah se read kariye. Hum ummid karte hain ki iss post ko follow karke aap log Garmi me ghar ko thanda rakh sakenge. Iss tarah se aap log apni garmi ko acchi tarah se enjoy kariye.


    Garmi me ghar ko thanda kaise rakhe - tips 


    Chhato ko thanda rakhe


    Dosto, kya aap logo ko yeh baat pata hain ki din ke samay main chhato dwara solar bikirano ko avashosit kar liya jata hain. Isse gahre rang ki chhate kafi garam ho jati hain. Isiliye hume chahiye ki hum apne chhato ka colour halka hi rakhe. Chhato ka colour agar safed ho toh accha hota hain. Scientists ke anusaar chhato par safed paint karne se iske prabhav main 70 se 80 pratishat tak ki kami layi ja sakti hain. Safed rang reflecter ka kaam karta hain.

    Isiliye aap log bhi makan banate waqt iss baat ka khas dhyan rakhe. Kyuki thandi ke mausam main toh koi jada prabhav nahi padta lekin garmi ke mausam main agar ghar ka vatavaran thanda na rahe toh hume kafi mushkil hoti hain. Toh aap log bhi iss baat khas taur par dhyan rakhe.

    Pardo ke colours ka dhyan rakhe


    Atyadhik suraj ki raushni aapke kamre ko garmahat se bhar deti hain. Toh isse bachne ke liye aapko pardo ka istemaal karna chahiye. Kya hota hain ki parde garmi sokhkar ghar ko thanda rakhte hain. Lekin sirf pardo ko lagane se hi aapke kamre ki garmi dur nahi ho jayengi. Pardo ko lagate waqt aapko unke colours ka dhyan rakhna hoga. Gadhe rang ke parde dhup ko apni or khichte hain.

    Lekin wahi par halke colours dhup se bachane main helpful hote hain. Khaskar white colour iss main kafi useful hota hain. Matlab ki aap apne karmre main jitne halke colours ke parde lagayenge, aapka kamra unta hi thanda rahega. Hum logo ki mane toh aap log white colour ka parda apne kamre main lagaye.


    Kaleen na bichhaye


    Sayad aap logo ko yeh baat pata na ho lekin yeh sanch hain ki kamre main bichhe kaleen se bhi ghar garam rahta hain. Isiliye thandi ke mausam main ghar ke kamro main kaleen bichhana thik hain. Lekin Garmiyo ke mausam main ghar ke kamro main bichhe kaleen ko hata dena chahiye. Ghar ka farsh agar khali rahe toh woh thanda rahta hain.

    Garmiyo main ghar ke khali farsh par nangge pair chalna bahut accha lagta hain kyuki woh bahut thande rahte hain. Toh aap logo ke liye bhi humari yahi salah hain ki ap log apne ghar main bichhaye hue are kaleeno ko garmiyo ke mausam main hata de. Iss tarah se aap log Garmi me ghar ko thanda rakh sakte hain.

    Khidkiyo par dhyan de


    Ghar ko thanda rakhne ke liye khidkiyo ka bhi ek bahut hi mahatwapurn bhumika hota hain. Aap apne ghar ki khidkiyo ko bada bada rakhe. Ghar main jitna jada hawa pani ghusega utna hi aapka ghar thanda rahega. Lekin jab dhup jada ho toh aap log apne khidkiyo ko band hi rakhe. Khaskar jis kamre main din main aap logo ka jada aana jana nahi hota, uss kamre ki khidkiyo ko din main band karke hi rakhe.

    Jab suraj dhal jaye yane ki raat ko aap log ghar ke sare khidkiyo ko khol de. Iss tarah se din bhar aapke kamre main dhup ka agaman nahi hoga. Aur raat ko thandi thandi hawaye aapke kamre main pravesh karke aapke kamre ko thanda rakhegi. 


    Bedcover ka colour halka hi rakhe


    Bedcover ka colour bhi kamre ko thanda rakhne ke liye bahut jada maine rakhta hain. Dosto, kya hota hain ki garmi ke mausam main gahre rang se garmi ka ehsaas jada hota hain. Isiliye zaruri hain ki bedroom main bedcover ka colour halka ho. Aap log apne bedroom ke bedcover ka rang halke gulabi, halka yellow ya fir white rakh sakte hain. Aap logo ke liye yeh janna bahut zaruri hain ki neela aur lal rang garmi ko badhate hain. Isiliye aap log apne bedroom ke bedcover ka colour red ya fir blue bilkul bhi na rakhe.

    Pani ka istemaal kare


    Ghar ko thanda rakhne ke liye bahut zaruri hain ki uss ghar ki chhate thandi rahe. Chhat ko thanda rakhne ke liye zaruri hain ki ghar ki chhat par subah sham pani se chhidkaw kiya jaye. Aap log chhat par tat ko rakh sakte hain. Ayesa karne se diwaro ka tapman kam hota hain. Ek aur baat hum aap logo ko bata de ki khas ki tat ko pani main bhigokar tangne se ghar main thandak bani rahti hain. Iske alawa bhi tab ya fir balti main pani bhar kar rakhne se uss pani se pabkhe ki hawa takrakar ghar ko thanda karti hain.


    Upkarano ka istemaal kam kare


    Dosto, iss baat main koi doubt nahi hain ki bijli se jude upkaran din bhar main humare bahut jada help karte hain. Lekin inn sabke karan humara ghar jada garam rahta hain. Kyun ki bijli se chalne wale upkaran bahut jada garmi paida karte hain. Isiliye aap log inn upkarano ka istemaal kam se kam kar de. Jab tak zarurat na ho tab tak aap log TV, washing machine, desktop etc ka use na kiya kare.


    Paudho ki help se apne ghar ko thanda rakhe


    Dosto, paudho ke karan humare ghar ka tapman 6 se 7 degree tak kam hota hain. Isiliye aap log apne ghar ke aas pas paudhe lagaye taki aap ka ghar thanda rahe. Aap apne ghar ke andar bhi paudhe laga sakte hain. Ghar ke andar paudhe rahne se yeh ghar main thandak aur shitalta ka ehsaas karate hain. Inke dwara chhodi gayi oxygen pure ghar ko thanda rakhta hain.


    AC, cooler ka prayog kare


    Dosto, aaj kal ke modern jamane main garmiyo ke mausam main bhi ghar ko thanda rakhna koi mushkil baat nahi raha. Aap log apne ghar AC, cooler etc ka istemaal kar sakte hain apne ghar ko thanda rakhne ke liye. Lekin inn cheezo ka istemaal simit matra main hi kare kyuki jada istemaal se aapke health ko nuksan pahuch sakta hain.

    Toh post ke end main hum aap logo ko bas ek hi baat kahenge ki, aap log iss post main diye gaye solutions se aapko pata chal gaya hoga ki Garmi me Ghar Ko Thanda Kaise Rakhe.
    how to