Achi Aadat Kaise Dale - अच्छी आदत कैसे डाले

Share:



    Achi Aadat Kaise Dale - अच्छी आदत कैसे डाले

    Achi Aadat Kaise Dale


    Achi Aadat Kaise Dale - Good Habits


    Hello dosto! Sab thik thak toh chal raha hain na? Toh chaliye ab hum aaj ke iss post ke title ki or badhte hain. Aaj ke humare iss post ka title hain achi aadat kaise dale ya good habits kaise lagaye. Toh agar aap log bhi apni life main acchi adato ko shamil karna chahte hain aur apni zindagi ko sahi raste par rakhna chahte hain. Toh aap log iss lekh ko acchi tarah se read kariye. Hume puri ummid hain ki iss lekh ko padhne ke baad aap logo ko zarur fayeda hoga.


    Achi aadat kaise dale - tips


    Apni buri adato ki list banaye


    Agar aap log acchi adat daalna chahte hain toh aap logo ko sabse pahle apni buri adato se pichha chhudana hoga. agar aap logo ko apni buri adato se pichha chhudana hain toh aap logo ko pahle unn adato ki list banani hogi. Kyun ki jab tak aap log apni unn buri adato ki list nahi banayenge tab tak aap logo ko yeh samajh main nahi aayega ki aap logo main kaun kaun si buri adate hain.

    Toh jab aap logo ko yeh pata chal jayega ki aap logo main kaun kaun si buri adate hain tab aap log apni unn adato ko sudharne ke liye koshish kar payenge lekin agar aap logo ko yeh pata hi nahi hoga ki aap logo ki buri adate kaun kaun si hain toh unn adato ko sudharna toh dur ki baat hain. Isiliye aap logo ke liye humari yeh special advise hain ki aap log chahe jaise bhi ho pahle yeh pata lagane ki koshish kare ki aap logo ki buri adate kaun kaun si hain. Uske baad unn adato ko dur karne ka prayas kare.

    Apne aapko andar se tarashe


    Aap logo ko yeh pata lagane ke liye ki aap logo ke andar kaun kaun si buri adate hain, aap logo ko pahle apne aapko andar se tarashna hoga. Aap logo ko khud ko feel karna hoga. Jab aap log shanti se baithkar khud ke upar vichar karenge toh aap logo ko yeh samajh main aa jayega ki aap logo ke andar kaun kaun si buri adate hain. Aap log khud ki buraiyo ko samne lane ke liye apne aapko thoda waqt de.

    Akele main jab bhi aap ho tab apne andar ki buri adato ko samjhe. samajhne ke baad unn buri adato ki ek suchi banale. Iss tarah se aap log apne andar ki buri adato ko bahar nikal payenge aur unn buri adato ki list bana payenge.

    Unn buri adato ko chhodne ke liye koshish kare


    Jab aap iss baat ka pata lagane main safal ho jaye ki aapke andar kaun kaun si buri adate hain. jab aap apne andar ki buri adato ki list banane main kamyab ho jaye. Tab aapka yeh farz banta hain ki aap apne andar chhipe buri adato ko mittane ke liye koshish kare. Ab bari hain yeh sonchne ki hum apne andar ki buri adato ko mittaye toh mittaye kaise. Kyun ki buri adato se pichha chhudana utna bhi asan nahi hain jitna sonchne main hume lagta hain. Buri adate koi tarah ke ho sakte hain yane ki buri adato ka koi seema nahi hain.


    Alag Alag tarike dhunde


    Toh har ek buri adat ko chhudane ke liye try kiya gaya tarika bhi alag alag hona chahiye. Hum har ek adat ko chhudane ke liye ek hi trick apply nahi kar sakte. Kuchh logo ko subah der se jagne ki buri adat hoti hain toh kuchh logo ko cigarette pine ki buri adat hoti hain. Toh ayese main hum inn dono buri adato ko chhudane ke liye ek hi trick apply nahi kar sakte hain.

    Agar aap soch rahe he ki achi aadat kaise dale toh aap log apni alag alag tarah ki buri adato ko chhudane ke liye kisi anubhavi insan ki help le sakte hain. Ya fir koi aur trick bhi ajma sakte hain. Lekin zaruri hain woh tarike useful ho aur aapko buri adato ko chhodne main help kare.

    Acchi adato ko nirdharit kare


    Aapko unn adato ko chhodne ka try karne ke sath sath yeh bhi sonchna hoga unn adato ki jagah par aap log kin kin adato ko apnayenge. Jab aap log yeh tay kar lenge ki aap logo ko akhir kin kin adato ko apnana hain tab hi aap unn karyo ko apni zindagi main shamil kar payenge aur unn adato se upakrit ho payenge. Toh jab aap log yeh tay kar le ki aap logo ko kaun kaun se adato ko apnana hain tab bari ayegi unn adato ko zindagi main dhalne ka.

    Toh aap log unn acchi adato ko zindagi main kaise dhale yeh janne ke liye kisi anubhavi insan ki help le sakte hain. iske alawa bhi aap log iss kaam ko karne ke liye koi aur trick ka istemaal kar sakte hain. Aap log shanti se baithe aur sonche ki kis tarike ko apnakar aap log sahi aur acchi adato ko apni zindagi main shamil kar sakte hain. Isi hisaab se unn adato ko apni zindagi main shamil karne ke liye try kar sakte hain.

    Achi aadate chode nahi


    Humari aap logo se yahi request hain ki aap log sonch samajh kar hi koi bhi faisla le aur acchi adato ko zindagi main shamil karne ke liye try kare. Aap logo ne jin jin acchi adato ko apni zindagi main shamil karne ke liye soncha hain unn karyo ko nirantar karte rahe yane ki uss kaam ko karna chhode nahi ya fir gap de dekar na kare. Agar aap log uss kaam ko lagatar roop se karte rahenge toh uss kaam ko karna aap logo ka ek habit ban jayega. Tab hum yeh kah sakte hain aap logo ne apni zindagi main acchi adato ko jagah di hain.

    Toh dosto, ab bas aap logo se humari yahi request hain ki aap log iss post acchi tarah se read kariye. Hume lagta hain ki yeh post aap logo ke liye bahut hi useful hain kyun ki zindagi main agar hum bhatakna nahi chahte aur humesha success ko hasil karna chahte hain toh humare liye acchi adato ko apni life main shamil karna bahut hi zaruri hain. Isiliye aaj hum aap logo ke liye kuchh tips lekar aaye hain jinko follow karne ke baad aap log acchi adato ko apni life main shamil karne main zarur safal ho jayenge.

    Umeed he ki ab aap ache se samajh gaye honge ki achi aadat kaise dale ya good habits kaise lagaye.
    how to