Bacho Par Kaise Sanskar Dale | Tarike aur Tips Ki Jankari

Share:



    Bacho Par Kaise Sanskar Dale


    Aaj ke humare iss post ka topic hain Bacho par kaise sanskar dale. Toh ab aap logo ko iss bare main koi tension lene ki zarurat nahi hain. Bas aap log iss lekh ko acchi tarah se ek baar read kar lijiye. Hume puri ummid hain ki iss lekh ko acchi tarah se read karne ke baad aap logo ko yeh acchi tarah se samajh main aa jayega ki hum kaise apne baccho ko sanskar sikha sakte hain.


    Bacho par kaise sanskar dale tips


    1. Baccho ko chhoti umar se hi sanskar dena suru kare

    Dosto! Kuchh log kya karte hain ki jab unke bacche chhote hote hain tab woh unn par dhyan nahi dete hain lekin jab bacche thode bade ho jate hain tab unko sanskar dena suru karte hain. Lekin unke ayesa karne ka parinaam accha nahi nikalta hain. Iska parinaam yeh hota hain ki woh apne bacche ko sanskar dene main asafal rahte hain.

    Dosto, aap log hi hume ek baat bataiye! Kya mature aur samajhdar ho jane ke baad kisiko sahi galat sikhana aur apne anusaar uske chinta dhara ko mod dena sambhav hain? Bilkul bhi nahi hain kyun ki tab woh log apne sonchne samajhne ki shakti se sahi aur galat ko ek dayra bana chuke hote hain jisko hum asani se badal nahi sakte hain. Agar kisi ghade ko akar dena hain toh jab mitti gila ho tabhi hum usko akar de sakte hain. Lekin jab woh ghara dhup main sukh kar pakka ho jaye tab hum uss ghade ko lakh chah kar bhi akar nahi de sakte hain.



    Thik ussi tarah hum baccho ko sanskar tabhi sikha sakte hain jab woh chhota ho, jab uske paas sonchne samajhne ki kshamta dridh na ho. Issi time par koi bhi baccha aapki baato ko sahi samjhega. Uss baat ko follow karega aur wahi sanskar woh apne jivan main follow karega. Aap logo se bhi humari yahi salah hain ki aap log agar apne baccho ko acche sanskar dena chahte hain toh tabhi se aap log apne baccho ko sanskar dena suru kar de jab aapke bacche chhote ho. Tabhi aap log apne baccho ko uchit sanskar dene main safal ho payenge.



    1. Apne baccho ke samne humesha ek accha aur possitive environment banaye rakhe

    Dosto! Baccho ka mann bahut hi komal hota hain. Woh kisi bhi cheez ko bahut jaldi seriously le lete hain. Kisi bhi baat se bahut jaldi parabhavit ho jate hain. Aur agar kabhi unke aas paas ka mahol kuchh negative sa hua toh iss baat ka baccho ke upar bahut hi galat asar padta hain. Isiliye hume apne bacche ke aas paas ka mahol humesha possitive banaye rakhna chahiye.



    Lekin kuchh log inn bato ko nahi samajhte hain. Inn sab chhoti moti cheezo ko ignore kar dete hain. Jiske wajah se woh apne baccho ko acche sanskar chah kar bhi nahi de pate hain. Agar kisi ghar main din raat kisi baat ko lekar jhagra ho. Ghar main chhota baccha ho zahir si baat hain ki jab woh baccha bada hoga toh jhagra hi sikhega. Kyun ki koi bhi hum tabhi karte hain jab hume lagta hain ki woh kaam sahi hain.

    Toh jis bacche ne bachpan se apne ghar main jhagra hote hue dekha hain, uske liye jhagra sahi hi hoga na. Aur agar mature hone ke baad uss bacche ko yeh ehsaas hi bhi gaya jhagra karna ek accha manners bilkul bhi nahi hain fir bhi tab woh apni adat se mazbur hoga aur jhagra kiye bina woh rah nahi payega. Toh yeh raha ek example ki kaise ghar ka mahol baccho ko affected karta hain. Unke charitra ko gadh dene main ek ahem bhumika leta hain. Isiliye humare sabhi readers se humari yeh request hain ki aap log apne ghar ka mahol humesha possitive banaye rakhe taki aap logo ke baccho ko acche sanskar mil sake.




    1. Baccho ke mann main utth rahe sawalo ko ignore na kare

    Agar aap soch rahe he ki Bacho par kaise sanskar dale toh baccho ke mann main bahut se sawal aate rahte hain. Unn sawalo ke javab woh apne maata pita se jakar mangte hain. Toh kuchh maata pita jo samajhdar hote hain woh apne baccho ke sawalo ko ignore nahi karte hain. Uss sawal ka javab dekar apne bacche ka confusion clear kar dete hain. Lekin kuchh maata pita apne baccho ke sawalo ko ignore kar dete hain. Jab unke bacche unn se sawal karte hain tab woh kuchh na kuchh bolkar apne baccho ki baat ko taal dete hain. Jiske parinaam swarup unko apne sawalo ke javab nahi mil pate.

    Jab unke sawalo ke sahi javab unki hasil nahi hote tab unke mann main jo aata hain ussi ko woh javab bana lete hain. Aur iss tarah se woh ek galat baat ko sahi samajh lete hain jiska asar unn character par padta hain woh iss tarah se woh galat sanskar ke shikar ho jate hain. Isiliye baccho ke mann main jab bhi koi question aaye tab turant unko uss sawal ke bare main samjha dena chahiye. Unke sawal ka sahi javab unko de dena chahiye taki unki sonch aur samajh sahi disha main chal sake.




    1. Buri sangat se apne baccho ko dur rakhe

    Baccho ko humesha buri sangato se dur rakhna chahiye. Kyun ki jadatar log sangat ke wajah se hi kharab ho jate hain. Agar aapke bacche bhi buri sangat main pad gaye toh aapke diye gaye lakh acche sanskar bhi bekar ho jayenge aur aapke bacche galat cheezo ko apna lenge. Yeh maata pita ka hi farz hain ki woh apne baccho ke inn sab cheezo par dhyan de. Unke bacche kiske sath khel rahe hain. Kiske sath rah rahe hain inn sab cheezo ke bare main maata pita ko puri jankari honi chahiye. Aur agar woh kabhi kisi galat sangat main pad jaye toh unn sangato se apne baccho ko dur rakhna bhi maata pita ka hi kartavya hain.

    Aap log bhi agar apne baccho ko acche sanskar dena chahte hain toh aap logo ko apne baccho ke inn sab cheezo par dhyan dena hoga. Unko galat sangato se dur rakhna hoga. Umeed he ki aap log achi tarah se samajh gaye honge ki Bacho par kaise sanskar dale. Toh ab hume nahi lagta ki aap logo ko aur kisi tip ki zarurat hain. Bas aap log iss lekh main diye gaye tips ko follow kariye. Apne baccho ko acche sanskar de dijiye.



    Adarsh Vidyarthi Kaise Bane?


    how to