Bhagwan Ko Prasann Kaise Kare | Tips and Tarike

Share:



    Bhagwan Ko Prasann Kaise Kare | Tips and Tarike
    Bhagwan Ko Prasann Kaise Kare 

    Bhagwan Ko Prasann Kaise Kare


    Dosto! Aajka humara title hain Bhagwan Ko Prasann Kaise Kare. Toh ab aap logo ko bas itna hi karna hain ki aap logo ko iss pure post ko acchi tarah se read karna hain. Baki hum log jante hain ki bhagvan aap logo ke upar humesha hi khush rahenge aur dua karte hain ki bhagvan aap logo ki har ek manokamna ko pura kare.


    Bhagwan Ko Prasann Kaise Kare - tips


    Subah subah naha dhokar bhagwan ki aradhna kare


    Subah subah naha lene se humara mann toh fresh hota hi hain sath sath yeh ek bahut accha habit hota hain. Agar kisi ghar main parivaar ke sare log subah subah naha dhokar bhagwan ji ki aradhna ek sath kare toh ghar main ek swargiya mahol ban jata hain aur ayese pavitra vatavaran main rahna bahut accha lagta hain. Wese ayesa koi nirdharit rule nahi hain ki hume subah subah utthkar bhagwan ki puja karni hi hogi tabhi humare bhagwan humare upar prasanna honge. Yeh toh just ek prakriya hain jo karne se humare liye hi accha hain.

    Baki agar aap logo ko subah nahane main pareshani hoti hain ya aap log nahi nahate toh ayesa koi rule nahi hain ki aap logo ko subah nahana hi hoga. Aap log bas mann se bhagwan ko yaad kar lijiye ussi main humare bhagwan khush ho jayenge. Bhagwan ne yeh bilkul bhi nahi kaha hain ki aap logo ko subah subah nahana hi padega aur puja karni hi padegi. Bas mann main bhakti aur shraddha hona chahiye, ussi main humare bhagwan prasanna ho jayenge.

    Dusro ke liye mann main dayabhav rakhe


    Kuchh logo ka bahut hi dayavan hota hain. Ayese log kabhi bhi kisi aur ki taklif ko nahi dekh sakte. Aur agar kabhi kisiko koi madat ki zarurat pad jaye toh ayese log madat karne se pichhe nahi hatte hain. Lekin kuchh logo ke mann main bilkul bhi daya nahi hoti. Iss tarah se jine main koi maza nahi hain dosto. Agar insan bankar janam liye ho toh insan bankar raho aur insan ke mann main prem aur dayabhav hona zaruri hota. Jis insan ke mann main daya nahi hoti woh insan nahi hota balki ek pashu se bhi battar hota hain. Kyun ki pashu ke paas sonchne samajhne ki kshamta nahi hoti isiliye unko pashu kaha jata hain.

    Insan ko sabse shreshtha jiv mana jata hain kyun ki hum insan ke paas sonchne samajhne ki kshamta hain, hum insan ko ek brain mila hain jiske dwara hum kya galat hain aur kya sahi hain iss baat ka faisla kar sakte hain. Toh insan ke roop main janam lekar bhi agar hum dusro ki pareshani aur dukh ke bare main na sonche toh hume nahi lagta ki hum ek safal insan banne main safal rahe. Iss tarah ke vyabahar se bhagvan bhi santust nahi rahte hain. Woh kahte hain na ki hum sab insan bhagvan ke santan hain.

    Agar aap soch rahe ho ki bhagwan ko prasann kaise kare toh bhagvan ke ek bhi santan ko agar taklif hui toh bhagvan ko taklif hoti hain. Aur agar hum dusro ki taklif ko samjhe aur dusro ke dukh ko dur karne ke liye prayas kare toh bhagvan ko bhi khushi hoti hain aur bhagvan humare ayese nature se hi prasanna rahte hain. Agar hum apne mann main sab ke liye dayabhav rakhe aur sabki help kare aur apne hriday ki saaf rakhe toh agar hum puja paat na bhi kare toh bhagvan kabhi humshe naraz nahi honge aur humesha humare upar khush rahenge.


    Kisike prati apne mann main irsha bhav na rakhe


    Kisike prati apne mann main irsha rakhna bahut hi buri baat hoti hain. Agar kisike liye accha nahi sonch sakte, agar kisika bhala nahi kar sakte toh kam se kam kisike bare main bura toh mat soncho, kisike liye mann main irsha bhav toh mat rakho. Bhagvan bhi yeh bilkul nahi chahenge ki unke kisi bhi bande ke mann main kisike liye bhi irsha bhav rahe. Aur agar aap log nahi chahte ki aap logo ke upar bhagvan naraz ho ya aap logo se bhagvan santust rahe toh aap log kabhi bhi kisi bhi insan ke liye apne mann main irsha bhav na rakhe.

    Humesha sabke hitt ke bare main sonche aur jitna sambhav ho logo ki bhalayi karne ki koshish kare tabhi bhagvan aap logo se khush rahenge aur jab bhagvan aap logo se khush rahenge toh aap logo ki har ek manokamna purn hogi aur aap log bhi humesha khush rahenge.

    Bhed bhav ko pradhanya na de aur ek ishwar ko puje


    Aaj ki tarikh main humare samaj main dev-deviyo ki sankhya itni badh gayi hain ki hum confuse ho jate hain ki hum kaun se bhagvan ko puje aur kis bhagvan ko na puje. Jaise jaise logo ki sankhya badh gayi wese wese jati ki bhav hui aur akhir main logo ne bhagvan ko hi baat liya. Lekin humara sawal yeh hain ki logo ne bhagvan ko jitne bhi roop main baata hain kya sanch main utne bhagvan hain? Ya fir yeh sanch hain ki bhagvan real main sirf ek hi hain aur hum insano ne hi unko kai sare roop main baat diya hain.

    Dosto, aap log kya sonchte hain yeh toh hum nahi jante lekin agar humari mane toh bhagvan iss dunia main sirf ek hi hain. Aur chahe hum unki jis bhi roop main aradhna kare, woh zarur khush hote hain. Aur aap logo se bhi humari yahi request hain ki aap log chahe jis bhi roop main bhagvan ko mane lekin unki har ek roop ki respect kare tabhi bhagvan aap logo ke upar khush rahenge aur aap logo ki har ek manokamna ko pura karenge.

    Bade bujurg ka khayal rakhe


    Dosto! Kuchh log ayese hote hain jo sonchte hain ki sirf puja paat kar lene se aur motti dakshina chadha dene se hi bhagvan khush ho jate hain jabki yeh sanch nahi hain. Bhagvan ne yeh nahi kaha hain ki unko motti dakshina hi chahiye. Agar unn paiso ko mandir main dakshina ke roop main chadhane ke bajay kisiki help kar de. Aapke pavitra mann se hi bhagvan aapke upar khush rahenge.

    Toh ab toh aap puri tarah samajh chuke he ki Bhagwan Ko Prasann Kaise Kare. Ab bas aap log iss pure post ko acchi tarah se read kariye aur iss lekh main jo tricks diye gaye hain unko follow kariye. Hume puri ummid hain ki iss lekh ko acchi tarah se follow karne ke baad aap logo ko bhagvan ko prasanna karne main koi bhi dikkat nahi hogi aur aap log bhagvan ko prasanna karne main zarur safal ho payenge.


    how to