Computer Me Hindi Language Kaise Dale - Tarike aur Tips

Share:



    Computer Me Hindi Language Kaise Dale

    Aaj ka hamara topic he computer me hindi language kaise dale. Aaj sabhi computer ko use karte hai. Par apne dekha hoga aap jo bhi kaam computer me karte hai vo sab apko english me hi karna padhta hai. Iska reason ye bhi hota hai apke computer me default jo language set hoti hai vo english hoti hai. Toh is reason se aap apne computer me jab bhi type karoge toh apko sab kuch english me hi milega.

    Aaj aap internet par lakho aise post dekhte honge jo apko hindi me najar aaenge. Par apko apne computer se hindi me type karne ka direct option nahi milega. Ishe aap 2 hi tarah se apne computer me hindi language ko use kar sakte hai. Ek toh agar apko hindi typing ki knowledge ho toh aap direct bhi apne keyborad se hindi type kar sakte hai. Iske liye bas apko hindi ke fonts ko download karna hoga apke system me hindi language phir available ho jayegi.

    Agar apko hindi typing ki knowledge nahi toh apko isko liye phir aaj market me software available hai jinhe use karke aap apne system me hindi dal sakte hai. Kyon ki apko bhi hindi me type karne ki jarurat padh jati hai. Apko koi blog jo apko hindi me likhna ho agar apke computer me hindi available hai toh aap badi aasani se fir koi bhi blog ya article hindi me likh sakte hai. Toh chaliye jante hai computer me hindi language kaise dale or kaise aap in software ko use kar sakte hai.

    Computer me hindi fonts installed karke


    Agar aap computer me hindi language kaise dale soch rahe hai toh iske liye apko apne computer me hindi fonts ko download karna hoga. Par is baat ka dhayan rakhe agar apko hindi typing ki knowledge nahi toh is method se apke liye hindi me likhna kafi muskil hoga. Toh chayie jante hai kaise aap apne system me hindi write kar sakte hai.



    1. Sabse pahle apko apne browser ko open karna hoga. Apko ab yaha hindi fonts software ko search karna hoga.

    2. Ab apke samne kafi sare hindi fonts ke software ke links open hoke aa jaenge. Fir apko kisi bhi link ko use karke apne system me ishe download karna hoga. Ab apko in fonts ko apne system me install karna hai.

    3. Ab aap apne system me ms-word me hindi me type kar paenge. ishe save karke send bhi kar sakte hai. Par iske liye apko ek baat ka dhayan rakhna hoga apko apne mail ya jaise bhi files install kare apko isme in fonts ko attach karke bhejna hoga varna apka receiver files ko open hi nahi kar paega jab tak uske system me same font install nahi honge.

    Is trick ko use karna apke liye itna aasan nahi hoga. Par aaj google ne apke is kaam ko bahut hi aasan bana diye hai. Ab apko hindi typing ki knowledge hone ki jarurat nahi hai. Iske liye apko apne system me ek software ko install karna hoga jiski help se aap bade aaram se apne system se hindi type kar paenge. aap bade aaram se apni post ya articles hindi me likh paenge.

    Google ne aise tools banaye hai jo unicode system par work karte hai. Jisme apko english me write karna hota hai or apka automatically hindi or devnagari lipi me convert ho jata hai. Toh chaliye jante hai aap kaise apne system me hindi use kar sakte hai. Iske liye apko niche diye steps ko follow karna hoga.

    Google input tool ko kaise apne system me use kare


    1. Sabse pahle apko apne system ke browser se “google input tool” ko search karna hoga. Yaha ab apke samne is tool ke different links open hoke aa jaenge ab apko inme se kisi bhi link ko open karna hoga. Ishe open karne par apke samne ek new page open hoke aa jaega.

    2. Ab apko yaha kafi sari language ke options najar aaege. Isme se apko hindi option ko dekhna hoga or uske samne tick karrna hoga. Ab apke samne niche apko ek download ka button show hoga. Apko is par click karna hoga. Jaise hi aap is par enter press karoge apke system me ek. Apk file download hona shuru ho jaegi. Ye file google hindi input tool hai jo apki language ko apko hindi me convert karke dega.

    3. Ab jab apke system me apk file download ho jaye apko is par click karna hoga. Jisse apko iski sari permissions ko allow karna hoga. Next press karke ishe apne system me install karna hoga.

    4. Install ho jane ke baad apko ishe open karna hoga. Ek bat ka dhayan rakhe ye software online hi work karega toh apke iske liye internet available rakhna hoga varna aap is tool me kam nahi kar paoge.

    5. Ab apko google hindi input tool ko open karna hoga. Ab apko pata hona chayie ye kaise kaam karta hai iske liye niche diye gaye steps ko follow kare.

    Hindi me type kaise kare



    1. Sabse pahle apko apne keyboard se type karna hoga iske liye apko ya toh online likhna hai ya aap notepad. Word ya or koi format bhi use kar sakte hai.

    2. Ab aap jaise hi isme type karke space ko enter karoge toh ye apke text ko hindi me convert karta chala jaega.

    3. Agar apko apne system me “rahul” likhna hai toh apko isme “raahul” likhna hoga apko hindi me rahul likha hua mil jaega. Aap ap is text ko jaha apka man kare copy karke paste kar sakte hai.

    Ye software unicode system par work karta jisme aap koi bhi text enter karte hai toh ye apke text ko devnagri lipi me convert kar deta hai. Kyon ki online hindi se related sabhi fonts apko available kara deta hai. Is tool ke liye aoko hindi me expert hone ki jarurat nahi hai bas aap daily jaise hindi me type karte hai apko aise hi isme type karna hoga. Isme aap direct job hi text hindi me convert karege iske liye jaruri nahi hoga apko ye input tool receiver ke system me bhi install karna jaruri hoga. Bas apko ishe send karna hai apka data direct receiver ke system me open ho jaega.

    Umeeh he apko computer me hindi language kaise dale thik tarah se samajh me aa gaya hoga. Upar batayi gayi dono tricks ko use karke aap apne khud ke blogs or articles apni kisi bhi website par upload kar sakte hai. Iske liye aap dono tricks me kisi ek ko use kar sakte hai. Agar aap hindi type me master hai toh aap hindi font se apna kaam kar sakte hai.
    how to