Computer Par Naya User Create Kaise Kare - Steps In Detail

Share:



    Computer Par Naya User Create Kaise Kare
    Computer Par Naya User Create Kaise Kare 

    Aaj computer apko business office, home vagera sab jagah dekhne ko mil jaega. Par ishe use karne ke sath sath apko computer ke bare me kuch technical knowledge bhi hona chayie. Toh chaliye aaj hum jante hai computer par naya user create kaise kare aur uske steps in detail. Kyon ki aap jab bhi koi new computer buy karte hai. Ya apne kisi se computer ko liya hai ya toh apko previous account ko delete karke apna account create karna padega.


    Computer Par Naya User Create Kaise Kare


    Agar apke computer system me pahle account nahi bana hai toh apko iske liye apne system / computer par naya user create karne ki jarurat padegi. Kyon ki isse apko bahut sare fayde mil jate hai. Isse apki files or apka computer secure bhi rahta hai. Agar apke computer ko apke ghar ke log ya apke friend bhi chalate hai. Toh apne computer par naya user account ki help apni files ko private rakh sakte hai. Jisse koi bhi apke system me koi change ya unauthorize activity na kar sake.

    Iske liye apko apna account admin account banana hoga. Or baki sabhi ke liye apko guest account create karna hoga. Is technique se aap apne computer ko safe toh rakhoge hi iske sath apni computer ki sabhi files ko safe bhi rakhoge. Isse alag bhi apne computer par naya user account create karne ke bahut se fayde hai. Jinhe niche discuss kiya gaya hai.

    Computer par naya user account create karne ke fayde



    1. Apne system me aap password enable kar sakte hai. Jisse apke account me koi dusra login nahi kar paega.

    2. Apne account me kiye hue kisi bhi work ko aap sabse safe rakh sakte hai. Jisse apke data ke sath koi bhi unauthorise access nahi kar sakta.

    3. Isse apke account me kiye gaye sabhi kaam bas aap hi dekh paoge baki user system ko use toh karege par as a guest.

    4. Pure system ka control apke hath me rahega. Jisse koi bhi apke software me koi change jaise install ya uninstall nahi kar sakta hai.

    5. Apke computer ko security provide karta hai jisse apka computer sabhi guests se safe rahta hai.

    Ab apko user account create karne ke fayde toh pata chal gaye. Toh aap samajh gaye honge agar aap user account apne system me create karoge toh ye apke liye hi useful hoga. Par iske liye apka pata hona chahiye computer par naya user create kaise kare. Iske liye apko niche kuch steps diye gaye aap inhe follow kare.

    Computer par naya user create kaise kare



    1. Sabse pahle apko apne computer system ke desktop par start menu show hoga niche left corner me screen ki. Ab apko is start menu par click karna hoga. Apke samne apke computer ke sare programs ki list open hoke aa jaegi. Ab apka yaha “control panel” ke option ko search karna hoga. Apke ye program ki list me easily mil jaega.

    2. Ab apke apne system se control panel se option ko click karke open karna hoga. Ab apke samne kuch or new options ke sath ek naya page open hoke aa jaega. Yaha apko user account ka option show hoga.

    3. Ab apko is option ko open karna hoga. Apko yaha kuch or new options najar aaega apko inme se create new user ko search karna hoga.

    4. Ab aap create new user ko open kare. Apko yaha ab apni mail id enter karni hogi. Iske baad apko yaha apne account ko select karne ka option show hoga.

    5. Yaha apko 2 type ke account najar aaega jinme se apko kisi ek ko select karna hoga isse apka account jaisa aap select karoge aisa hi ho jaega.

    6. Ab apko in dono option me se pahla standard or dusra administrator me se “administrator” account par click karna hoga. Ab apo yaha apni marzi ka password select karna hoga. Apko yaha koi strong password dena hoga. Agar aap strong password banana nahi jante to hap iske liye internet ki help le sakte hai. Isse apko yaha kafi apps mil jaege jo apko ek strong password ka combination de degi.

    7. Ab bas apni marzi ka password create ho jane ke baad apko ishe create par click karna hoga. Apka account banke ready ho jaega. Ab apko ishe check karne ke liye bas apne system ko restart karna hoga. Jab apka system phir se on hoga apke samne screen par ek account ka option aaega apko is option par click karna hoga. Ab apko yaha password verification ki press ko pura karna hoga jisse aap apne system me enter kar sakte hai.

    Standard account kya hai or ye administrator account se alag kaise hai


    Apne abhi upar padha hoga standard user account or administrator user account. Vaise use toh ye dono computer ko chlane ke liye hi hote hai. Par standard user hume tab create karne ki jarurat padhti hai jab apke system ko koi bhi directky use kar leta ho isse apke system ko kafi danger rahta hai kyon ki koi bhi apke computer ko nuksaan pahucha sakta hai iske liye is problem se kaise bavha jaye computer me aap 2 account create kar sakte hai.

    Toh chaliye jante hai kaise admin account apke sytem ko in sab problem se bachata hai. Isme aap computer toh use kar paoge par isme apko agar system me koi bhi new software install karna hai to hap nahi kar sakte ya apko system me kisi bhi change ki need hai to hap isme apni marzi se koi bhi change nahi kar sakte. Iske liye apko system ke admin account ki jarurat padegi.

    Administrator account


    Jab aap apne computer me user create karteho apke samne dono option aa jate hai. Admin account se apka system safe rahta hai kyon ki agar apka system koi use bhi kar raha hai toh isme bas apko ek standard account banake rakhna hoga. Kyon ki apka system toh apke account se secure rahega jiske liye apko password dena padega varna agar password nahi hai toh apko computer me entry as a guest hi milegi.

    Isse aap computer me internet ya file reading. Jab hi apko karna hai kar sakte ho. Par kuch aise farak hai jo ishe standard account se alag kar deta hai. Isme apko apne system me software install karna ya kisi bhi software ko remove karna hoga. Ya apko kabhi apne ystem me kuch change karne ki jarurat hui to hap badi aasani se kar sakte hai. Kyon ki aap system ke admin hai or system ka pura control apke hath me hoga. Isse ek toh apka computer humesha safe rahega. Aap kisi ko apna system fir use ke liye de sakte hai.

    how to