Datacard Ki Jankari aur Datacard Ke Types - डाटा कार्ड की जानकारी और डेटाकार्ड के टाइप्स

Share:



    Datacard Ki Jankari aur Datacard Ke Types

    Internet aaj sabhi use karte hai. Iske liye apko kisi na kisi company ka datacard lena jaruri hoti hai. Par apko is bat ka pata hona chayie ki ye datacards hote kya hai. Apne device mobile ya modems jo aap use karte hai. Iske liye apko koi na koi datacard purchase karna padhta hai. Kyon ki agar apke mobile me datacard nahi hai to hap apne device me internet istemal hi nahi kar payenge. Aaj hum Datacard Ki Jankari aur Datacard Ke Types ke bare me janenge and wo Kaise Istemaal Kare.


    Datacard Ki Jankari


    Aaj market me bahut si telecom companies hai jo apko internet available karati hai. Iske liye apko companies ko charges bhi dene padhte hai. Par iske charges apko alag alag najar aaenge. Kyon ki datacards kitne hi tarah ke hote hai jisse inki speed bhi kam or jada ho jati hai. Kyon ki agar apne kam paise deke koi plan liya hai toh apki iski speed bhi kam milegi.

    Datacards aaj sabhi ke liye jaruri bhi hog aye hai. Agar apka internet use karna hai toh data toh lena jaruri ho jaega toh iske liye apko kisi bhi company ki simcard leni hogi. Agar apko phone me internet use karna hai ya agar apko modem me internet use karna hai toh iske liye apko alag se datacard lena padega.

    Toh chaliye jante hai market me aaj kitne type ke datacard available hai Datacard Ki Jankari aur Datacard Ke Types. Aap kaise inhe use karte hai. Hum sabhi jante hai aaj 2g, 3g, 4g or modem ke datacard kafi popular hai. Is liye apko pata hona chayie apko 2g datacard me kya milega or 3g ya 4g datacard isse alag kaise hai. Iske liye niche sabhi datacards ki jankari di gayi hai.

    Datacard ke types

    1. 2G datacard


    Agar apko internet use karna hai. Apne mobile me ya modem se kisi bhi computer ya laptop me aap 2g datacard ko purchase kar sakte hai. Iske liye apko apne liye kisi bhi pack ko choose karna hoga. 2g datacard ke price sabhi companies me apko alag alag milege. Isme apko jada speed nahi milegi. Agar apko internet par kuch dekhna bhi hai toh say dap isme ache se koi video ya jaldi se kisi bhi file ko download nahi kar sakte. Aaj market me apko 2g datacard ke unlimited plans bhi badi aasani se bahut kam dam me mil jaenge. Par agar apko agar browsing ko fast karna hai toh apko 3g ya 4g datacard ko purchase karna hoga. Kyon ki 2g data me apko speed slow hi milegi.

    1. 3G datacard


    3g datacard 2g se kafi better hai. Iski speed apko achi khasi mil jaegi. Iske liye apko 2g se jayada paise dene honge. Iski speed apko 1 se 2 mb tak bade aaram se mil jati hai. Agar apko video ya games online khelne ka craze hai toh apke liye 3g datacard best hai. Iske liye sabhi companies me apko 1 din se 28 din tak ke packs mil jaenge. Isme apko fix ya unlimited bhi data mil jata hai. Jishe aap bade maje se use kar sakte hai.

    Youtube jaisi sites jo online videos provide karte hai toh iske liye apko 3g datacard lena chayie. Iski high speed apke liye internet par badi se badi file ko bhi badi jaldi se download kar degi. Par agar apka data unlimited nahi hai toh ye badi jaldi se kharch bhi ho jaega. Toh apko apni data limit ko dhayan me rakh kar hi apne 3g datacard ko use karna chayie.

    Aaj agar apke pas 3g phone available hai toh hi aap 3g datacard ka use kar paenge. Iske liye apko apni settings ko bhi change karna hoga.



    • Iske liye apko apne networks me jake settings ko open karna hoga.

    • Yaha apko settings option me jake wcdma ko select karna hoga. Isse apke mobile me apko h+ ka ek symbol najar aaega toh apka phone 3g network se connect ho jaoge.

    • Ya aap apne network ko automatically par bhi save kar sakte hai. Isse apka phone khud network adjust kar lega.

    • Graphics Card Ki Jankari
    1. 4G datacard

    4g ka naam toh aaj shayad koi hi aisa ho jo ab janta na ho. Kyon ki jio ke aate hi 4g services 7 month tak free rahi hai. Isly 100000000 se jyada users 4g datacard ka use kar chuke hai. Par aap tabhi is datacard ko use kar paenge agar apke pas ek 4g mobile hai toh agar apke 3g ya 2g support karne vala mobile phone hai toh aap isme apni 4g sim ko use hi nahi kar sakte toh aap fir datacard kaise use karoge.

    Toh agar apko 4g datacard ko use karna hai toh iske liye apko ek lte base mobile ko purchase karna hoga. Iske liye apko market me kafi 4g datacards ke plan mil jaenge. Jisme apko 1 day se leke monthly or yearly plans bhi ab available hai. Ab bat kare 4g datacard me apko speed kya milegi. Ye 3g or 2g datacard se kahi aage hai. Iski speed apko 11 mb tak milegi.

    Iske liye apko kitni hi badi file ho ab aap badi aasani se chutkiyo me download kar sakte ho. 4g network bahut hi strong network hai. Iske liye apko apne mobile ki settings ko lte mode par rakhna hoga. Isse apka mobile 4g network se connect ho jaega or aap 4g datacard ko use kar paenge.

    India me abi tak 4g datacard kisi bhi mobile ke liye sabse fast network hai. Ishe use karke aap apne mobile se laptop ya computer ko bhi connect kar sakte hai. Itni jyada speed ki vagah se aap isse ek se jyada bhi kitne hi device connect kar sakte hai or full speed internet ke maje le sakte hai.

    1. Datacards for modems

    Apko agar apne laptop me ya tablet me internet ka use karna hai toh iske liye apko modem ki jarurat padegi. Kyon ki iske recharge apko alag se karne padhte hai. Isme aap koi bhi datacard select kar sakte hai chay vo 2g ho 3g ho ya 4g ho. Isse apka computer network se connect ho jaega or aap isme internet ko use kar paenge. Iske liye apko jis bhi operator ki aap dongle use karoge usi ke hisab se apko settings karni padegi. Isse apko ek achi speed mil jaegi. Par ye aap par depend karega aap konsa datacard apni dongle ke liye purchase karte ho. Iske liye apko apne pack ke hisab se payment bhi karni padegi.

    Par isse apka laptop or tablet internet use kar paenge. Isme apko sabhi types ke datacard ke packs mil jaenge. Bas apko jitni speed chahie aap ishi hisaab se apna pack purchase kar sakte hai. Sabhi operators apko alag alag price or duration ke liye data provide karenge.

    Umeed he apko Datacard Ki Jankari aur Datacard Ke Types sath hi Kaise Istemaal Kare samajh me aa gaya honga. Upar apko kitne hi type ke datacard ke bare me bataya gaya hai. Apko jis bhi datacard ki requirement hai aap ise le sakte hai.

    how to