First Aid Ka Istemaal Kaise Kare - Jaruri Tips In Hindi

Share:



    First Aid Ka Istemaal Kaise Kare


    Hello dosto! Aajke humare iss post ka topic hain first aid ka istemaal kaise kare. Toh aap logo se yahi request hain ki aap log iss pure post ko acchi tarah se read kariye.


    first aid ka istemaal kaise kare - tips


    Hamesha use wali jagah chune


    First aid box ko kisi ayesi jagah par rakhe jaha par sabki nazar padti ho. First aid ek ayesi cheez hain jiski zarurat kabhi bhi kisiko bhi pad sakti hain. Durghatna kab aur kis time par ghat jaye iska koi thik nahi rahta hain. Isiliye humesha hume first aid ko taiyar rakhna chahiye. Taki kabhi bhi hum iska istemaal karke khatro se nizad pa sake. Lekin ghar main har samay parivaar ka har ek sadasya maujud ho yeh zaruri nahi hain.

    Toh agar kabhi parivaar ke kisi member ko first aid ki zarurat pad jaye. Uss insan ko first aid box ghar par kahi na mile toh fir woh kya karega. Isiliye first aid box ko ghar ke kisi ayesi jagah par rakhni chahiye jaha par har insan ki nazar padti ho. Ghar ke jis jagah par first aid box rakha ho uss bare main ghar ke har ek member ko khabar honi chahiye.

    Aankhon ke samne ho


    Aap log first aid box ko ghar ke bandroom main dying room main rakh sakte hain. Aap logo ka first aid box ka akar bhi kuchh ayesa hona chahiye ki koi aur box uss box ke jaisa na ho. Taki uss box ko dekhte hi asani se kisiko yeh samajh main aa jaye ki woh ek first aid box hain. Emergency ke time par parivaar ka koi bhi member uss first aid box ka istemaal kar sake.

    Toh aap logo se humari yahi salah hain ki aap log bhi inn chhoti chhoti baato ka khayal rakhe. Taki aapke parivaar ke kisi bhi member ko kisi bhi tarah ki pareshaani ka samna na karna pade. Lekin yaha par aur ek baat aap logo ko dhyan rakhne ki zarurat hain ki aap logo ke ghar main agar koi chhota baby ho toh usse first aid box ko humesha chhupakar aur dur hi rakhe.

    First aid box main zaruri dawaiya hi rakhe


    Jaisa ki hum sab yeh baat jante hain ki hume kisi bhi dawayi ko lene se pahle doctor ki salah zarur leni chahiye. Lekin fir bhi kuchh ayesi dawaiya bhi hain jinko hum doctor ke salah ke bina bhi le sakte hain. Jaise ki hum bukhar ki koi halki fulki tablet aur acidity ki koi dawayi  apne first aid box main emergency ke liye rakh sakte hain. Iske alawa bhi hum bandage, koi cosmetic cream, cotton etc. Bhi rakh sakte hain.

    Inn sabke alawa bhi apne first aid box main aap log thermometer rakhna na bhule. Agar kabhi parivaar ke kisi member ko bukhar ho jaye toh thermometer ki madat se hum turant bukhar ko check kar sakte hain. Uske baad koi dawayi le sakte hain. Agar mausam garmi ka ho toh ORS ya aur koi energy ki dawayi rakh sakte hain. Kyun ki garmi ke mausam main aksar hume  pet main pareshaani hoti hain. Kabhi kabhi sar main dard aur sar chakkar aana jaisi pareshania bhi hoti hain.

    Kaun si dawaiya rakhe


    Toh agar ghar main hi inn chhoti chhoti problems ko dur karne ke liye dawaiya maujud ho toh hume koi pareshani nahi hoti hain. Isiliye aap log apne first aid box main inn dawaiyo ko zarur rakhe. Inn sab ke alawa bhi aap log apne first aid box main aur bhi bahut sari dawaiyo ko shamil kar sakte hain. Agar aap logo ka koi family doctor hain toh aap log apne uss family doctor se salah le sakte hain ki aap logo ko kaun kaun si dawaiya apne first aid box main rakhni chahiye. Kaun kaun si dawaiya nahi rakhni chahiye.

    Iss tarah se agar aap log apne doctor se salah le lenge. Uske baad apne first aid box main dawaiya rakhenge toh kisi bhi tarah ka risk nahi rahega. Aap log apne sath apne pure parivaar walo ko humesha safe aur surakshit rakh payenge. Isiliye humari aap logo se yahi salah hain ki aap log bhi agar possible ho toh apne doctor se salah lekar dawaiyo ko apne first aid box main rakhe.

    First aid box ki kyu zarurat hain


    Upar humne aap logo ko yeh toh bata diya ki first aid ka istemaal kaise karna chahiye. Lekin sirf first aid ke istemaal karne ke tarike ke bare main batane se koi fayeda nahi hoga. First aid ka istemaal koi tabhi karega jab unko first aid box ke fayedo ke bare main pata hoga. Aaj bhi ayese families bahut kam hi milte hain jo apne ghar main first aid box ka istemaal karte hain. Lekin kuchh families ke istemaal karne se hi nahi hoga.

    Humara maksad yahi hain ki har parivaar main first aid ka istemaal ho. Ghar main first aid box rahe. Isiliye aaj hum aap logo ko first aid aur first aid box ke faydo ke bare main batane wale hain. Dosto, first aid box ka ghar main hona bahut hi jada zaruri hain kyuki maan lijiye ki raat ke 2 ya 3 baje ke karib aapke pet main ya sar main bahut dard hone laga toh itni raat ko aap doctor ke paas bhi nahi ja sakte. Toh itni raat ko aapke paas ek hi option hain aur woh hain first aid.

    Ayese halat main agar aapke ghar main first aid box maujud hoga toh aap first aid box main se koi dawayi lekar uss time par kha sakte hain. Apni pain ko kam kar sakte hain. Thik ussi tarah maan lijiye ki aap sabji ya fruit kat rahe ho. Katte waqt aapki koi ungli buri tarah se cut gayi aur tez khun bahne laga. Toh uss emergency ke time par aap first aid box ka istemaal karke apne khun ko na sirf rok sakte ho balki pain ko bhi kam kar sakte ho. Issi tarah se aap log bahut si emergency ke time par first aid box ka istemaal karke musibat se bach sakte ho.

    Toh ab hume nahi lagta ki aap logo ko aur kisi tip aur salah ki zarurat hain first aid box ka istemaal karne ke liye. Toh bas aap log inn tips ko follow kariye. Agar aap log first aid box ka istemaal nahi karte toh aaj se hi apne ghar main first aid box ka istemaal kariye.
    how to