Instagram Account Kaise Banaye - इंस्टाग्राम अकाउंट कैसे बनाए

Share:




    Instagram Account Kaise Banaye - इंस्टाग्राम अकाउंट कैसे बनाए
    Instagram Account Kaise Banaye


    Social media aaj ek aisi jarurat banti ja rahi hai jo sabhi ke liye jaruri sa ho gaya. Kyon ki aaj kisi ke pas itna time nahi hota aap sabse mil paye or unke bare me jaan paye par agar aap social media par active hai toh apko sab pata hota hai apke friends ke bare me, apke relatives ke bare or bhi jo log apse connect hai. Aaj hum janenge Instagram Account Kaise Banaye aur saath hi Followers, Likes Kaise Badhaye ye bhi.


    Instagram Account Kaise Banaye


    Iske liye apko market me aise bahut se platform bhi mil jaege jinhe aap use karke sabhi logo se connect rahte hai. Aisi hi ek social website hai Instagram. Ishe bhi aaj log khub use kar rahe hai ek dusre se connect rahne ke liye iske liye unhe par is par account banana padta hai fir bas aap ek dusre ko follow kar sakte hai. Par iske liye apko pata hona chayie Instagram hai kya or aap kaise is par apna account bana sakte hai. Isme fir aap kaise apne likes or follwers ko badha sakte hai. Iske liye apko niche kuch tips diye gaye hai. Jinhe use karke aap apna account toh open kar hi sakte hai sath me followers bhi badha sakte hai or posts par like bhi. Iske liye shuru karte hai Instagram hai kya.

    Instagram Kya hai


    Ye ek social app hai jisse aap ek dusre se connect rah sakte hai. Ishe mobile me use kiya jata hai chay vo smartphone ho ya iphones ye app sabhi phone me support karti hai. Iske liye apko bas apna account banana hota hai fr aap is par apni photo share kar sakte hai kisi or ki dali gayi posts ko share, like or comment kar sakte hai. Isme aap chat nahi kar sakte hai bas aap pics or videos ko share kar sakte hai. Toh chaliye jante hai Instagram Account Kaise Banaye


    Instagram Account Kaise Banaye


    Vaise toh aap ishe computer ya mobile me dono me chala sakte hai. Par ye mostly ek mobile app hi hai. Toh chaliye jante hai mobile se aap is kaam ko kaise kar sakte hai. Iske liye niche kuch tips diye gaye hai jinhe apko apna account banane ke liye follow karna hai.



    1. Sabse pahle apko apne mobile se Google play store par jana hoga. Yaha apko Instagram ki app ko search karna hoga. Apke samne Instagram ki app ka link aajaega. Apko yaha se ishe install karna hai.

    2. Ab install ho jane ke bad aap is app ko open kare. Ya aap chay toh www.instagram.com par bhi ja sakte hai agar apko app ko download nahi karna hai toh aap side is website se bhi ishe access kar sakte hai.

    3. Ab apke samne ek form aajaega apko ishe fill karna hoga iske liye apko isme 4 field ko bharna hoga.

    E-mail


    Yaha apko apna ek valid email address enter karna hai jo aap use karte hai.


    Full Name


    Yaha apko apna pura naam enter karna hoga.


    Username


    Yaha apko apni marzi ka ek user name dalna hoga apko is baat ka dhayan rakhna hoga apka username dusre se alag ho.


    Password


    Yaha apko apni pasand ka ek password enter karna hoga. Iske liye aap strong password use kar sakte hai. Ab apko sari details fill ho jane ke baad sign up par click karna hoga apka account create ho jaega. Ab aap is par apni profile pic add kar sakte hai or apne friend se connect rah sakte hai.


    Followers, Likes Kaise Badhaye


    Ap apna account toh create kar lete ho par ek problem yah aati hai. Apki posts par like bahut hi kam aate hai or apke comment bhi kafi kam hote hai. Apne dekha bhi hoga apke kuch friends apse kitna aage rahte hai unki pics par hazaro likes or comment aajate hai or unke follwers bhi bahut jada hote hai. Aap bhi aisa kar sakte hai aaj market me aisi bahut shi apps hai jinhe use karke aap apne likes, comment or follwers ko badha sakte hai. Toh chaliye jante hai kaise aap in apps ko use kar sakte hai Iske liye niche kuch tips diye gaye hai jinhe use karke aap is kaam ko bade aaram se kar sakte hai.



    1. Sabse pahle apko apne mobile se cyber likes ki website par jana hoga iske liye apko apne mobile se search karna hoga cyber likes apke samne kafi sare links open hoke aa jaenge. Ab apko inme ae kisi bhi link par click karna hai. Aisa karte hi aap cyber likes ki website par chale jaege.

    2. Ab yaha apk Instagram tool ka ek option najar aaega apko is par click karke ishe open karna hoga. Aisa karte hi apke samne ek new page open hoke aa jaega. Apko yaha se Get token ke option park click karna hoga.

    3. Get token par click karne ke baad apke samne ek new page open hoke aa jaega. Apko yaha 2 option milege username or password enter karne ka. Yaha apko phle upar vale column me apna username enter karna hoga. Yaad rahe apko apna Instagram par jo username enter kiya hai vahi yaha use karna hai. Iske baad apko apne account me jo password use kiya same vahi yaha enter karna hoga. Agar ye wrong hue toh ye trick kaam nahi karegi or aap apne follwers nahi badha paege. Inhe enter karne ke baad apko niche login ka option najar aaega. Apko is par click karna hai.

    4. Ab apke samne ek or naye page open hoga yaha apse ye apke account ko access karne ki permission lega kyon ki bina permission mile ye apke account ko access hi nahi kar paega. Kyon ki koi bhi aise kisi bhi app ko data share nahi kar sakti jab tak user allow na kare.
    Ab apko yaha ek Authorize ka option najar aaega apko is par click karna hai.

    1. Ab apke samne ek bada sa code aaega apko ishe copy karna hai. Iske baad apko login par click karna hoga apke samne ek or new page open hoke aa jaega.

    2. Yaha ab apke samne kitne sare option or honge. Ab apko yaha Auto Follow ka option choose karna hai. Iske baad apse ye code mangega yaha apko vahi code enter karna hai jo apne vaha se copy kiya tha. Jaise aap ishe yaha paste karke apply karege apke 25 follwers bad jaege.

    3. Agar apko like ya comment badhane hai toh auto like or auto comment ko select kare. Yaha se aap apne like or comment bhi bada sakte hai.

    Bas apko sabhi steps ko bade dhayan se follow karna hoga. Ye tricks bilkul working hai. Umeed he aap Instagram Account Kaise Banaye aur Followers and Likes Kaise Badhaye samajh gaye honge.
    how to