Pasine Se Rahat Kaise Paye - Pasina Na Aane Ke Upay

Share:



    Pasine Se Rahat Kaise Paye - Pasina Na Aane Ke Upay
    Pasine Se Rahat Kaise Paye -
    Pasina Na Aane Ke Upay

    Pasine Se Rahat Kaise Paye


    Dosto, aaj ka humara title hain pasine se rahat kaise paye. Toh chaliye ab niche diye gaye post ko padhte hain aur pasina na aane ke upay ke bare main sikhte hain.


    Pasine Se Rahat Kaise Paye


    Kisi product ka niyamit roop se istemaal kare


    Agar aap log under arms ke pasine se pareshaan hain toh aapko niyamit roop se kisi durgandh-nashak etc ka istemaal karna chahiye. Aapko raat ko sone se pahle, subah jagne ke turant baad ya fir nahane ke turant baad uska istemaal karna chahiye. Sabse pahle aap log apni bago ko acchi tarah se saaf pani aur sabun se dhoye aur uske baad usko acchi tarah se sukha le. Aur fir sukhi hui baho main durgandh-nashak ki halki si parat lagaye.

    Yadi aap kabhi pasine se tar ho jaye toh tabhi aap turant durgandh ko dur karne ke liye pasine par hi kisi utpad ka prayog na kare. Kyuki ayesa karke aap kabhi bhi durgandh se mukti nahi pa sakte. Toh isse better hain ki aap log pahle apne under arms ko sabun aur saaf pani se acchi tarah se dho le aur uske baad hi koi utpad uss par lagaye.

    Apni problem ke hisaab se ek accha sa utpad kharide


    Aapko apni problem ke hisaab se koi commercial utpad ya fir koi durgandh-nashak ya toh koi mishrit utpad kharidna chahiye. Ek sahi utpad ka chunav karne ke liye kisi doctor ki salah le sakte hain. Agar aapke sharir se durgandh aata hain toh aapko koi ayesa durgandha-nashak kharidna chahiye jo somya aur natural ho. Aur agar aapko pasine ki dhabbo ki samasya hain toh aapko kisi commercial utpad ka istemaal karna chahiye. Yeh aapke baho ki pasine ko rokne main madat karega.


    Regular roop se snan kare


    Under arms ke pasine ko niyantrit karne ke liye kisi upchar ya utpad se bhi jada zaruri hota hain regular roop se snan karna. Pasine ko niyantrit karne ke liye yeh zaruri hain ki hum din bhar apne under arms ko saaf aur sukha rakhe. Wese toh garmi ke mausam main din bhar main 2-3 baar nahana chahiye ya usse bhi jada lekin agar aapko nahana jada mushkil lagta hain toh aap logo ke liye behtar yahi hain ki aap log din main ek baar naha le aur thode time ke baad baad apne under arms ko dhote rahe.

    Pratyek istemaal ke baad apne kapde ko dho le


    Garmi ke mausam main pasina aana toh lazmi hain. Aur agar pasina ayega toh zahir si baat hain ki usse aapke kapde bhi bhig jayenge. Toh agar aap pasine se bhiga hua kapda pahnenge toh aapki body se zarur ayegi. Toh badbu se bachne ke liye aap har istemaal ke baad apne kapde ko dho le. Real main under arms ke gandh pasine ke karan nahi hote hain, balki yeh gandh toh bacteria ke karan hota hain jo sukhe hue pasine se pichhe rah jati hain.

    Isiliye agar aap log kapde ko dobara pahanne se pahle nahi dhote hain toh kapde ka bacteria badhta hi jata hain. Isse kapde ka gandh badhta hi jata hain. Agar aapko bahut jada pasina aata hain toh aap din bhar main apne kapde ko 1-2 baar badalte rahe taki badbu se bacha ja sake.


    Under shirts pahne


    Agar aap soch rahe he ki pasine se rahat kaise paye toh swaccha aur safed shirt aapke sharir ke pasine ko sokh leta hain. Jisse aapke bahri shirt par koi dag dhabba nahi lagta hain. Agar aapko bahut jada pasina aata hain toh aap apne kapde ki satah ko badha le jisse ki pasina bahar ke kapde tak na pahuch sake.

    Apni baho ke baalo ko hatate rahe


    Aap logo ko apni baho ke baalo ko hatate rahna chahiye. Yeh aapko kuchh hadd tak rahat de sakta hain. Hala ki isse aapke pasine main koi kami nahi ayegi aur na hi isse aapko thandak ki prapti nahi hogi. Yeh bas aapke baho main pasine ko ekattha hone se rokega. Yeh aapke pasine se hone wale dhabbo ko saaf rakhne main madat karega aur badbu ko bhi niyantran main rakhega.


    Khan-pan main badlav kare


    Aapke liye yeh jan lena bahut hi zaruri hain ki tez gandh wale khadya padarth aapke pasine ke gandh ko bhi parabhavit karta hain. Pyaj, lahsun jaise khadya padarth jo gandh walipowderiti ke hote hain woh pasine ke tez gandh ke karan hote hain. Isiliye aap logo ko sahi khan-pan ka dhyan zarur rakhna chahiye.

    Vyayam kare


    Yadi aapke sharir main jada mans hain toh aapke sharir ko thanda rakhne ke liye sharir pasina chhodega. Yadi aap sanch main baho ke pasine ki samasya se junj rahe hain toh agar aap kardio byayam ko apni dincharcha main shamil kar le aur kuchh wajan kam kar le toh kuchh kaam ban sakta hain. Aap byayam ke sath apna sara pasina bahar nikale. Sabse zaldi wajan kam karne ka sabse accha tarika hain ki aap sharirik kriyaye kare. Aap din bhar main jitna ho sake utna kam celery ka sewan kare. Aap oily cheezo ka sewan ekdam kam kar de. Din bhar pani pite rahe aur aur subah sham paydal tahalne ke liye jaye. Aur fir nahakar pasine ko saaf kar le.


    Nahane ke baad koi body oil ya lotion ka istemaal na kare


    Dosto, sardi ke mausam main body oil ya lotion lagana humare liye accha hota hain. Lekin garmi ke mausam main body oil ya lotion laga lene se hume koi fayeda nahi hota aur ulta pasina jada aata hain. Aur pasine ke sath sara lotion bahar nikal jata hain jiske wajah se hume body oil ya lotion lagane ka koi bhi fayeda nahi hota hain. Isiliye agar aap log sharir ke pasine se nizad pana chahte hain toh garmi ke mausam main koi bhi body lotion ya oil ka istemaal bilkul bhi nahi kare. Ayesa karne se aap log kafi hadd tak pasine se khud ko bacha sakte hain.

    Ummid karte hain aap logo ko acchi tarah se sab kuchh samajh main aa gaya hoga ki pasine se rahat kaise paye. Toh ab tension kis baat ka, sujhav aap logo ke samne hain. Bas isko follow kariye pasine se khud ko bachakar rakhiye. Aur apni life ko enjoy kariye.

    how to