Problems Kam Kaise Kare - Mansik Tanav Dur Kaise Kare

Share:



    Problems Kam Kaise Kare


    Aaj ke humare iss post ka topic hain problems kam kaise kare? mansik tanav dur kaise kare? agar paristhiti apke khilaf ho to kya kare. Toh ab bas aap log iss pure post ko acchi tarah se read kariye.


    Man shant rakhe


    Sabse pahle thodi der ke liye apna man ko shant rakhe aur kuchh bhi na sonche. Humare life main aksar koi na koi pareshani aati rahti hain. Ayese main humare paas unn problems se takrakar unko dur karne karne ke alawa koi rashta nahi hoga. Jab humare life main koi problem aati hain toh uss problem ka solution bhi humare paas hi hota hain lekin unn problems ko dur karne ke liye humare mann ka shant hona bahut hi zaruri hain.

    Agar humara mind shant nahi hoga toh solutions ke samne rahne par bhi hume solution nazar nahi ayega. Hum uss problem se chhutkara pane ke bajay aur jada fans jayenge. Isiliye jab aap logo ki life main koi pareshani aaye toh sabse pahle aap log thodi der ke liye ekdam shant ho jaye. Kuchh bhi na sonche.

    Thodi der ke liye humare dil aur dimag ko rest de dene se hume kafi halka feel hoga. Tab hum uss problem ka sahi solution nikal payenge. Kuchh log ayese hote hain jo problem aate hi ekdam bechain ho jate hain. Unko samajh main nahi aata ki woh kaun sa rashta apnaye aur apni problem ko dur kare. Pareshani ke waqt main woh dhiraj nahi rakh pate. Jald baji main koi ayesa faisla le lete hain jo unki problem ko solve karne ke bajay aur uljha deta hain.

    Isiliye problems ke waqt bechain na hokar sabse pahle apne dimag ko shant kar lena chahiye. Uske baad hi koi faisla karna chahiye ki unko actually main kya karna chahiye apni problem ko solve karne ke liye.


    Himmat na hare


    Agar aap soch rahe he ki problems kam kaise kare? toh kuchh log ayese hote hain jo jab bhi koi problem aata hain toh woh log apna himmat ekdam se haar jate hain. Apne aapko kamjor samajhne lagte hain. Lekin problems ke jo log himmat rakhte hain wahi log uss problem ko paar karke aage nikal pate hain.

    Isiliye hum sabko kabhi bhi andar se tutna nahi chahiye. Himmat ka sath kabhi bhi nahi chhodna chahiye. Agar problem aaye toh hume humesha yahi sonchna chahiye ki ek hum hi toh ayese nahi hain jisko pareshani ka samna kar pad raha hain. Humare alawa bhi dunia main ayese bahut sare log hain jo roj nazane kitni pareshaanio ka samna karte hain. Toh unn logo ki pareshani ke samne humari pareshani kuchh bhi nahi hain.

    Toh agar woh log apni pareshaanio ka samna karke unse chhutkara pa sakte hain toh hum kyu nahi. Kuchh ayesi dharnao ko apne mann main rakhkar hume aage badhna chahiye. Apne aap main himmat rakhna ek bahut badi baat hoti hain. Sirf kuchh log hi ayese hote hain jo chahe kitni bhi pareshani aa jaye lekin himmat ka sath kabhi bhi nahi chhodte. Wahi log pareshanio ko harakar unn par jit hasil karte hain.

    Toh aap logo ki friend hone ke nate hum aap logo ko bhi yahi salah denge ki aaj logo ke samne chahe kitni bhi badi pareshanio kyu na aa jaye lekin aap log himmat na hare. Humesha apne antar mann ko mazbut karke pareshaanio se nipatne ki taiyari main lag jaye.


    Kisi anubhavi vyakti ki paramarsh le


    Agar aap janana chahte he ki problems kam kaise kare toh Pareshanio ke waqt sahi rashta dikhane ke liye kisi anubhavi vyakti ka humari zindagi main hona bahut zaruri hota hain. Jin logo ko zindagi aur zindagi ki pareshaanio ke bare main accha anubhav hain wahi log hume sahi sahi bata sakte hain ki uss kathin samay main hume kya karna chahiye taki hum apni pareshaani ko paar kar sake. Kuchh logo ki zindagi main ayese logo ka sath hota hain jo sahi samay par sahi disha dikhane ka kaam karte hain.


    Lekin anubhavi vyakti se humara ishara har bade bujurg ki taraf nahi hain dosto. Kuchh log ayese hote hain jo bahut kam umar main hi bahut sari abhigyata hasil kar lete hain. Kuchh log ayese hote hain jo ek lambi umar ko paar kar lene ke baad bhi anubhav hasil nahi kar pate. Isiliye aap log bhi ayese kisi insan ka sath le jinke paas zindagi ki acchi khasi anubhav ho. Jo aapko sahi rashta dikha sake.

    Aap logo ko jab kuchh bhi samajh main na aaye tab aap log kisi ayese hi anubhavi insan ke paas jaye. Usko apni paristhiti ke bare main detail main bata de. Uske baad aap unko puchhe ki ayese situation main aapko kya karna chahiye. Is paristhiti se aap kaise nikal sakte hain. Yakin maniye dosto yeh tarika aap logo ke liye bahut jada useful sabit hoga. Aap logo ki pareshaanio ko dur karne main aap logo ki kafi help karega.


    Great men ki jivni padhe


    Great men ka matlab toh aap logo ko pata hi hoga. Hume yeh kaam boring lagta hain lekin agar hum apne mauj masti ke samay main se thoda sa bhi waqt nikal kar great men ki jivni ko padhe toh humare liye aur humare aane wale future ke liye yeh kafi helpful rahega. Inn cheezo ko padhne se hume unn great men ki life. Unki life main unko kaun kaun si aur kis tarah ke pareshaanio se gujarna pada iss baat ka knowledge hota hain.

    Toh inn sab cheezo ko read karne se hume bhi iss baat ka ek idea hota hain ki hume apni life main aayi pareshaanio se kis tarah deal karna hain. Unn pareshaanio se kaise nikalna hain. Yakin maniye dosto agar aap log inn chhezo ko regularly read karenge toh kuchh hi dino main aap logo ka anubhav itna jada develop ho jayega ki aap logo ko apni pareshaanio se nikalne ke liye fir kisi aur anubhavi vyakti ki sahayta ki bilkul bhi zarurat nahi padegi.

    Tab aap logo ke samne chahe jitni bhi badi pareshani aaye lekin aap logo ko kabhi bhi ghabrahat nahi hogi. Aap logo ki himmat nahi tutegi. Iss tarah se aap log khud ko develop kar sakte hain. Har ek pareshaani se ladne ke liye unse jitne ke liye khud ko taiyar kar sakte. Toh hum apne har ek friend se yeh request karte hain ki woh log regular nahi toh na sahi lekin kabhi kabhi apne kimti palo main se kuchh waqt nikalkar great men ki jivni ko read kare. Apne anubhav ko aur jada develop kare.

    Toh ab bas aap log iss lekh main diye gaye tips ko follow kariye aur apni pareshaanio ka hall nikal lijiye. Umeed karte he ki apko samajh me aa hi gaya honga ki problems kam kaise kare? mansik tanav dur kaise kare? agar paristhiti apke khilaf ho to kya kare.

    how to