Windows Auto Update Band Kaise Kare - Steps Fayde Nuksan

Share:



    Windows Auto Update Band Kaise Kare

    Hello all, aaj ka topic he windows auto update band kaise kare? Computer aaj apko sabhi ghar me mil jaega. Kyon ki aaj sabhi kam ko karne ke liye iski jarurat padne lagi hai or ishe use karna or bhi easy bana diya h windows ne. Jabse se computer me windows install aane lagi hai ishe chalana or iske features or bhi badh gaye hai.

    Windows ke kitne hi version users use kar chuke hai. Abhi tak ka latest version windows ne abhi hal hi me market me launch kiya hai windows 10 or ab ye jitne bhi aap new laptops ya computer buy karoge usme apko ye version pre-installed milega. Ye dekhne me bada hi attractive hai or iski performance bhi baki pahle version se kafi tej hai. Par isme users ko ek problem sabse jada preshan kar rahi hai vo hai isme auto updates. Windows 10 me updates chalti rahti hai. Jab bhi aap ishe internet se connect karoge isme updates shuru ho jayegi.

    Apne dekha bhi hoga jab bhi aap apne computer ko internet se connect karte hai toh ya toh apki internet ki speed kafi jada slow ho jati hai. Apki hard-disk bhi full hoti jaa rahi jisme apne system me jada kuch dala hua bhi nahi hai. Ye problem windows ke updates ki vagah se hi hai. Vaise toh ye ek achi bat hai apki windows up to date rhegi iska fyda apko hi hoga par aap ise chay toh disable bhi kar sakte hai. Agar apke pas limited internet hai toh apko ishe band hi karke rakhna hoga varna apka sara data ishi me chala jaega. Par agar apke pas unlimited data hai toh ishe disable na kare. Kyon ki iske apko kafi sare fayde hai.

    Windows Auto Update ke fayde


    Agar microsoft ne koi feature windows 10 me add kiya hai toh jarur ye users ke liye useful hi hoga toh chayie jante hai isse jude fayde.



    1. Agar apki updates auto rahti hai toh jitne bhi naye features windows me add honge ve apke system me automatic aate rahenge. Jaise apki windows ka look change ho jaega. Ya apke icons or bhi attractive ya kuch aise useful features jo apke liye bahot jaruri ho apko milte rahege.

    2. Agar apki windows me koi problem aari hai toh regular updates se vo dur ho jaegi. Apki windows humesha ache se kaam karegi or fast rhegi.

    3. Apka system safe rhega apki windows ki virus definition upto date rahegi toh apki windows new viruses ko identify kar paegi or unhe remove kar paegi.

    4. Apka system fast rhega kyon ki sabhi updates or jaruri drivers apke system me install rhege. Apki windows apke system ko fast banaye rakhegi.

    5. Apko khud se koi bhi updates karne ki jarurat nahi padegi. Sari files download or install ab apki windows khud kar legi bas apko apne system ko network se connect rakhna hoga jisme internet active ho.

    Windows auto updates ke fayde ke sath iske kuch problem bhi hai jo users ke dekhne me aaye hai toh jante hai agar apki auto updates enabled hai toh apko isse kya preshani ho sakti hai.

    Windows Auto Update se hone wale nuksan



    1. Agar apke system me windows me auto updates enable hai toh jab bhi aap apne system ko internet se connect karoge apki “windows updates” hona shuru kar degi or apki internet ki speed kafi slow ho jaegi. Isse apko internet par or kuch bhi kaam karne me kafi dikkat aa sakti hai. Kyon ki apki sari speed windows ke updates me hi chali jati hai.

    2. Apka internet pack agar limited hai toh ye apke liye badi preshani ka reason ho sakti hai. Kyon ki windows ke updates hone me apka kafi data lag jaega iski vagah se time se pahle hi apka data khatam ho jaega or apka bill bhi increase hoga jisse apko kafi preshani ho sakti hai.

    3. Windows ke updates me kafi sari files automatically download hoti rahti hai. Jiski vagah se apke hard disk me kafi sara data download ho jata hai or vo full hone lagti hai. Jiski vagah se apka memory ka loss hota hai or apka system bhi space ke bhar jane ki vagah se kafi slow hone lagta hai.

    Agar aap windows ke updates ko rokna chahate hai toh iske liye windows me option available hai jishe use karke aap humesha ke liye in khud se hone vali sabhi updates ko band kar sakte hai. Ye bada hi aasan hai iske liye bas aap niche diye gaye steps ko follow kare apka kaam ho jaega.

    Windows Auto Update Band Kaise Kare



    1. Iske liye sabse pahle apko apni windows ke search box me jana hoga. Yaha apko "service" type karna hoga iske bad apke samne service ka option open hoke aa jaega. Apko is par click karna hai apke samne ek new windows open hoke aa jaegi.

    2. Ishe aap ek or tarike se open kar sakte hai iske liye apko apne system ke "this pc" option par right click karna hoga isme apko manage ka option najar aaega. Apkonus par click karna hoga. Apke samne ek or pop up menu aaega isme se apko services and application ko open karna hai. Ab aap is menu me se service ko open kare.

    3. Ab apko service me kuch new option or milege. Yaha apko “windows updates” ko search karna hoga. Ab apko is par double click karna hoga. ”windows updates” apke samne open ho jayegi.

    4. Ab apko yaha start up me disable ko set karna hai. Ab agar apki “windows updates” ho rahi hai toh apko iske liye status option me jana hoga. Yaha apko stop button par click karna hoga. Apki windows ki updates ruk jaegi. Iske liye apko “windows updates” me jake dekhna hoga apko vaha “windows updates” is failed likha hua najar aaega. Isse ab apki “windows updates” band ho gayi hai. Ab bas apko apply par click karna hoga. Fir aap ok press kare.

    5. Ab apki windows auto update band ho chuki hai. Agar koi bhi jayada jaruri updates hogi toh iske liye system apse permission lega tabhi koi updates shuru hogi. Bina apki permission ab windows me koi updates nahi hogo ab jab tak aap ishe enable nahi kroge toh ye updates hona shuru nahi hogi.

    Ab aap is trick se humesha ke liye apni windows auto update band kar sakte hai. Par agar apke pas data limited nahi toh aap ishe enable hi rehne de kyon ki isse apki windows upto date rahegi. Par agar apke liye ye updates jaruri nahi hai toh aap in steps ko ache se follow kare or apni system ki updates ko band kare.

    how to