Computer Ko Mobile Se Control Kaise Kare | Tarike and Tricks

Share:



    Computer Ko Mobile Se Control Kaise Kare

    Computer Ko Mobile Se Control Kaise Kare


    Hello Friends, aaj ka hamara interesting topic he Computer Ko Mobile Se Control kaise kare. Aaj sabhi smart phones ko use karte hai. Kyon ki google ne apne users ke liye itni sari app bana di hai. Jisne apke life style ko hi change kar diye. Ye sabhi apps apko jyadatar free me google playstore par badi aasani se mil jati hai. Agar apko shopping karni hai aap apne ghar se hi apne smartphone ki help se is kaam ko ab chutkiyo me kar sakte ho. Online payments karne ke liye apko lakho apps mil jayegi apko kahi bhi jane ki jarurat nahi hai.

    Computer Ko Mobile Se Control Kaise Kare

    Smart phone ke features aaj itne jada ho chuke hai. Isse aaj apne Computer Ko Mobile Se Control kar sakte ho. Matlab aap apne computer ko bina hath lagaye apne mobile se puri tarah control kar sakte hai. Isse agar aap apne office me baithe hai toh vahi se hi aap apne computer ke mouse ko control kar sakte hai. Apne desktop par se aap jo function chay use kar sakte hai. Isse alag bhi kuch or features hai jo niche diye gaye hai.

    Remote mobile se apne computer me kya kar sakte hai.

    1. Aap apne mobile ko apne system se connect karke ppt control kar sakte hai.

    2. Apne mobile se hi apne mouse ko control kar sakte hai.

    3. Apne computer ki sabhi internet services ko use kar sakte hai.

    4. Aap computer se koi bhi file access kar sakte hai bina apne computer ko hath lagaye

    Isse alag bhi aise or bhi bahut kaam hai jinhe aap apne mobile ko remote ki jaise karke apne computer system me kar sakte hai. Iske liye apko jyada knowledge ka bhi hona jaruri nahi hai. Par apko pata hona chayie iske liye apko kis software ki jarurat padegi. Iske liye niche diye steps ko follow kare or jane ye software hai kya or kaise kaam karta hai.

    Computer Ko Mobile Se Control Kaise Kare

    Agar aap Computer Ko Mobile Se Control karna chahte he toh iske liye apne computer aur mobile dono me kuch softwares ki jarurat padegi. Isliye pahle jante hai mobile me kya kare.

    Mobile ke liye kya kare

    1. Sabse pahle apko apne mobile se “team viewer” software install karna hoga. Iske liye aap apne mobile se google play store par jaye yaha apko team viewer search karna hai apke samne bahut sare links aa jaege.

    2. Ab apko in links me se kisi bhi links par click karna hai. Apke samne install ka option aa jayega. Yaha click karke apko is software ko apne mobile me install kare.

    3. Ab aap apne mobile me is software ko install karna hai. Yaha apko isme kahi sign-in ka option najar aaega. Yaha apko isme sign-in karna hai. Iske liye apko isme apni user id or password enter karna hoga. Puri verification process ko pura karne ke baa dap isme successfully login ho jane ke baad. Apko yaha ek id ka option najar aaega. Yaha apko apni marzi ki id enter karni hogi jisse apka ek valid id ban jaegi teamviewer software par. Par apko iske liye kuch bato ka dhayan rakhna hoga varna aap apne mobile se computer ko control nahi kar sakte.

    4. Apke pas ek android mobile system vala mobile hona chayie.

    5. Apke mobile ka data on rahna chayie.

    Itna sab ho jane ke baad apke mobile ka sabhi kaam pura ho chuka hai ab apko apne computer ke liye software ki jarurat padegi iske liye humare niche bataye gaye steps ko follow kare.

    Computer ke liye kya kare

    1. Ab apko computer par bhi team viewer ko install karna hoga. Iske liye apne system se apko apne browser ke search bar me jana hoga. Yaha apne keyboard se type kare or enter press kare apke samne team viewer ke bahut sare links aa jaege ye ek third party app hai.

    2. In sabhi links me apko kisi bhi ek link par click karna hai or ishe apne system me download karna hai. Is software ki exe file download ho jane ke bad apko ishe apne computer me run karna hai or next button par click karke ishe apko apne system me install karna hai.

    3. Ab apne computer system me is software ko open kare. Yaha apke samne ek window open hogi jisme apko vahi apne mobile ke jaise ek id enter karni hogi job hi apko pasand ho.

    Itna karne ke baa dab apko is baat ka pata hona chayie in dono ko connect kaise kare kyon ki abi tak apne bas apne systems me bas software hi install kare hai.

    Apne mobile or computer ko connect kaise kare

    Iske liye niche diye steps ko follow kare.
    1. Sabse pahle apne computer system ko kisi network se connect kare. Ab apko apni id jaha apne enter kari thi vahi apko ek option or najar aaega partner id ka yaha apko apne jo id apne mobile ke teamviewer me enter kari thi vahi same id apko apni partner id ke option me enter karni hogi agar aap galat id use karoge toh aap apne mobile ko computer se connect nahi kar sakte hai.

    2. Aap id enter karne ke baad apko niche ek connect ka option milega. Apko connect par click karna hai. Itna karte hi apke mobile me ek notification chala jaega. Ab apke computer se sara kaam ho gaya hai par is baat ka dhayan rakhe apka computer system internet se connect rahna chayie.

    3. Ab apko apne mobile me ek notification milega jaise hi aap ishe allow karege apka mobile apke computer se connect ho jaega. Par apke mobile ke liye bhi internet connection jaruri hai. Aap apke pas sare rights aa chuke hai apne mobile se apne computer system ko control karne ke. Bas aap kahi bhi apko apne computer or mobile me is software ka hona jaruri hai aap kahi se apne computer ko full control kar sakte hai.

    Agar aap Computer Ko Mobile Se Control karne ka soch rahe he toh isse alag bhi market me apko bahut se software mil jayenge ye software bas un sabhi tools me se ek hai. Apko kuch aise softwares bhi mil jaege jo apke wifi or bluetooth par work karte hai. Par usme apko dikkat ye aaegi apko usme fix range se hi ye kaam karna hoga agar aap range se bhar chale gaye toh apka connection disconnect ho jayega. Aap apne mobile se phir apne mobile ko control nahi kar payenge aur aap agar kahi dur bhi honge tab bhi apko ye problem aayengi.

    Ab toh aap samajh hi gaye honge ki computer ko mobile se control kaise kare uske tarike and tricks. Par upar ki tricks se apko is problem ka samna nahi karna padega. Kyon ki internet se aap ishe bade aaram se control kar sakte hai or jo bhi features chahe apne computer ke apne mobile se hi use kar sakte hai.
    how to