Computer Par Audio Settings Kaise Kare | Tarike aur Tips

Share:



    Computer Par Audio Settings Kaise Kare

    Computer aaj sabhi use karte hai. Ishe aap movie dekne ke liye songs sunne ke liye or calling ke liye use karte hai. Par apko kabhi kabhi apne system ke audio me problem aane lagti hai jaise apko awwaj sahi nahi aati. Ya aap jab songs play karte hai toh apko aawaj patli ya moti aane lagti or bhi apko songs me ya videos me sound me problem aane lagti hai. Aaj hum janenge Computer Par Audio Settings Kaise Kare?

    Apke system me sabhi programs ki bhi default sound hoti hai. Jaise window start hone par apko konsi sound aani chayie. Vaise agar apke computer me windows install hai toh apko sabhi programs ki default sound set milegi. Par agar aap apni marzi ki sound ya message email notification ke liye koi bhi apni pasand ki sound laga sakte hai. Isse alag bhi aap apne computer system se attach hone vale sabhi devices ki setting apne Computer Par Audio Settings me jake kar sakte hai. aap sabhi programs ke liye sound test bhi perform kar sakte hai.

    Apke system me headphone ya koi bhi external device aap add karte hai vo work nahi kar rahe iske liye apko apne system me sound driver ko update karne ki jarurat pad sakti hai. Agar apke system koi error aa gayi hai jiski vagah se apki sound me dikkat aa rahi hai toh iske liye apne system me troubleshoot kar sakte hai. Toh chaliye jante hai aap kaise apne system ki sound ko check kar sakte hai or kaise aap apni settings ko change kar sakte hai.

    Computer Par Audio Settings Kaise Kare



    1. Sabse pahle apko apne system me start menu par click karna hoga. aap apko yaha kitne asre programs ki list najar aaegi. Yaha se apko control panel ke option ko search karna hoga. Ab apko control panel par click karna hai.

    2. Apke samne kuch new options open hoke aa jaege. Ab apko yaha se hardware & sound option ko search karna hoga. Apko is option par click karna hoga apke samne sound settings ke kuch option open hoke aa jaege.

    3. Ab apko yaha sound option najar aaega. Apko isme 3 option najar aaege. Ab apko iske liye niche decription diya gaya hai apko isme kaise kaam karna hai.

    1. Adjust system volume

    Yaha apko apne system ki volumes ko adjust karne ke option najar aaenge. Yaha se aap apne system me volume ko adjust kar sakte hai.



    • Device

    Yaha apko apne system ke speaker/headphones ki volume ko adjust kar sakte hai.



    • Application

    Yaha se aap apne system ki sound ko adjust kar sakte hai.

          2. Change system sounds


    • Yaha se apko sound scheme ka option najar aaega yaha vaise toh ye sound default ke liye set hoti hai. Par aap yaha apni marzi ke sounds add kar sakte hai or iske liye apko save as option par click karna hoga.

    • Yaha apko program events ka option najar aaega apko yaha apne system ke sabhi programs show honge or unke liye job hi sound select hai vo bhi apko dikhai degi ab aap yaha se apne program ke liye sound test bhi kar sakte hai.

    • Ya agar apko apne program ke sounds ko configure karna hai toh ye kaam yaha se kar sakte hai.

    • Yaha aap play sound bhi apni windows me add kar sakte hai. Jisse apki window jab bhi start hogi apko apki set ki gayi sound sunai degi.

    • Ab aap ok press karke apni ki gayi settings ko save kar sakte hai.

    • Video Editing Softwares

         3. Managed audio devices


    Yaha se aap apne system me insert sabhi audio devices ko manage kar sakte hai. Yaha apko apne system se attach sabhi devices najar aaege ab apko inme se kisi bhi device ko select karna hoga

    Ab apke samne kuch option open hoke aa jaege yaha se aap apne headphones ya microphone ki settings ko change kar sakte hai or agar apko inhe configure karna hai toh aap kar sakte hai.

    Agar apko inhe use karne me koi problem aa rahi hai toh aap iske test bhi kar sakte isse apko pata lag jaega ki apke system ke devices thik se kam kar rahe hai ya nahi.

    Upar batayi gayi techniques se aap apne system ki settings ko check kar sakte hai. Ki apki Computer Par Audio Settings thik hai ya nahi. Par kitni hi bar apke system me kuch technical problems aa jati hai jiski vagah se apke system me sound or audio me problem aani shuru ho jati hai. Iske liye apko apne system ki audio ko troubleshoot karna padega jisse apke sabhi program ache se test ho jaege or proper work bhi karenge.

    Audio problem ko troubleshoot kaise kare


    Iske liye apko niche diye gaye steps ko follow karna hoga.

    1. Sabse pahle apko apne computer ko "reboot" karna hoga.

    2. Apko is bat ka dhayan rakhna hoga apka computer system hardware devices ke liye mute nahi hona chayie. Iske liye apko kisi bhi external device par click karke check karna hoga apke speaker on hai ya nahi.

    3. Volume ko full rakhe iske liye koi song chalake aap apni sound ko check kare.

    4. Ab apko apne system ke volume mixer ko open karke sabhi sounds ko enable karna hoga. Apki volume setting mute par nahi honi chayie.

    5. Agar apke internal speaker work nahi kar rahe hai toh iske liye apne system me headphone insert kare. Agar apke headphone work kar rahe hai toh aap troubleshooting ki process ko aage badhaye.

    6. Ab apko volume icon par right click karna hoga. Yaha apko playback devices ko choose karna hoga. Agar apko yaha selected device par green mark najar aata hai toh properties par click kare or yaha check kare"use this device" enable hai ya nahi.

    7. Agar ab bhi apka sound kaam nahi kar raha hai toh ab apko apne driver ko check karna hoga ho sakta hai apke sound drivers corrupt ho gaye ho.

    8. Ab apko apne system se audio drivers ko un-installed karna hoga iske liye apko apne system se control panel par jana hoga. Uske baad apko yaha se sabhi audio drivers ko delete karna hoga.

    9. Fir apko apne system ko reboot karna hoga jisse apki windows sabhi drivers ko phir se installed kar sake. Agar apke windows me ye kaam automatically nahi ho raha hai toh aap is kaam ko manually kare.

    In sabhi tricks se aap apne computer me aane vali sabhi problem ko remove kar sakte hai. Isse agar apke software me koi bhi problem hai toh vo troubleshooting se dur ho jaegi or settings aap upar diye gaye steps se ab bade aaram se kar sakte hai.

    how to