Garmi Me Aahar Kaise Rakhe - Tips and Jankari Hindi Me

Share:



    Garmi Me Aahar Kaise Rakhe
    Garmi Me Aahar Kaise Rakhe

    Garmi Me Aahar Kaise Rakhe



    Aaj ke humare iss post ko suru karne se pahle ek baat aap logo ko hum zarur batana chahenge ki aaj ka yeh post aap logo ke liye bahut hi useful sabit hoga. Toh chaliye ab read karte hain aaj ke post ko. Jante hain ki garmi ke mausam main khane pine ki cheezo ko kaise rakh sakte hain. Garmi me aahar kaise rakhe aur kuch khas tips.

    Garmi Me Aahar Kaise Rakhe - Tips


    Bahut din tak food ko store karke na rakhe


    Dosto, yeh toh wese bhi ek normal baat hain ki bahut dino tak khana store rakhne se khana kharab ho jata hain. Isiliye hume khane ko jada dino tak store karke nahi rakhna chahiye. Hala ki agar ghar main freeze ho toh hum thoda jada time tak khane ko rakh sakte hain. Lekin freeze main bhi khane ko 3 se 4 din tak hi rakhna chahiye. Usse jada din rakhne par freeze main bhi khana kharab ho jata hain. Isiliye aap logo ke ghar main agar freeze hain toh bhi aap log 3-4 din se jada khana uss main na rakhe. Agar freeze nahi hain toh 3-4 din bhi khana na rakhe.

    Khane ko thanda rakhe


    Garmi ke mausam main aap log apne khana pina ko khana pina rakhne wale kamre main jada der tak nahi rakhe. Kyuki kamre ke tapman main khana jada der tak sahi salamat nahi rahega. Bahut zaldi kharab ho jayega. Toh usse better hain ki aap log khane ko freeze main rakh de. Lekin yaha par ek baat ka khayal rakhna aap logo ke liye bahut jada zaruri hain ki bhojan ko pakane ke turant baad hi khane ko freeze main na rakhe balki khane ko thanda karke hi freeze main rakhe. Freeze ko 4°C main rakhe.

    Freeze main jada saman na rakhe


    Dosto, aap logo main se bahuto ko yeh baat pata hogi ki freeze main jada saman rakhne se freeze ke cooler ke upar asar padta hain. Freeze main cooling thik tarah se rahne ke liye hawa ka circulation acchi tarah se hona bahut jada zaruri hain. Agar aap Garmi me aahar kaise rakhe soch rahe he toh uske liye freeze main space rakhna bahut jada zaruri hain. Isiliye aap logo ko hum yahi salah denge ki aap log apne freeze main jada saman bhar kar na rakhe taki freeze ke cooling capacity ko acchi tarah se rah sake.

    Frozen foods ko melt hone se bachaye


    Aap log market se frozen foods toh kharidte hi honge toh aap logo ko kya karna hain ki unn frozen foods ko melt hone se bachana hain. Aap log market se frozen foods ko kharidne ke baad unn foods ko jitna zaldi ho sake ghar par le jaye. Uske baad unn foods ko freeze main rakh de. Jaisa ki hum sab yeh baat jante hain ki garmi ke mausam main frozen foods zaldi melt ho jate hain. Toh aap log zaldi se zaldi ghar par jana hoga. Ho sake toh ghar ke sabse paas wala jo shop hain wahi se frozen foods ko kharide taki woh melt na ho sake.

    Kacche aur Pake bhojan ko alag alag karke rakhe


    Dosto, yeh baat bahut hi normal hain ki pake hue ahar ko agar kacche bhojan ke sath rakha jaye toh woh bahut zaldi kharab hone lagte hain. Isiliye hume kacche. Pake bhojan ko alag alag karke kakhna chahiye taki woh kharab na ho sake. Wese bhi hume har ek bhojan ko alag alag karke hi rakhna chahiye nahi toh khane ke swad par bhi bura asar padta hain. Isiliye aap logo ke liye bhi humari yahi salah hain ki aap log kacche. Pake hue ahar ko alag alag karke hi rakhe. Unko garmi ke mausam main bhi jada der tak surakshit rakhe.

    Kharab ho gaye bhojan ko turant fek de


    Jo khana kharab ho jaye unko turant fek de. Kyuki kharab khane ko accha khana ke sath rakhne se accha khana bhi kharab ho jata hain aur toh aur kharab khane ko ghar main rakhne se bahut si bimario ko nevta mil jata hain humare ghar main pravesh karne ka. Humare sharir ko bimar karne ka. Isiliye jo khana kharab ho jaye usko turant fek Dena chahiye. Kisi ayesi jagah par fekna chahiye taki waha se badbu na aa sake. Isiliye aap logo se humari yahi request hain ki aap log kharab ho gaye khane ko turant hi fek de. Freeze main toh ayese bhojan ko bilkul hi na rakhe.

    Fruits ko zaldi se zaldi khatam kar le


    Dosto, fruits ko jitna taza sewan kiya jaye utna hi accha hota hain. Jada din tak fruits ko store karke nahi rakhna chahiye. Jada din tak fruits ko rakhne se fruits kharab ho jate hain. Uska vitamin bhi kam ho jata hain. Akhir tazr falo ke baat hi kuchh. Hota hain. Kaise koi fruit kharab ho jaye ya jada pak jaye toh turant uss fruit ki thikane laga de. Acche falo ko kharab ho gaye falo ke sath toh bilkul hi na rakhe nahi toh aapke acche fruits bhi nahi bachenge. Ayese main aap logo ke liye behtar yahi hain ki aap log kam kam hi fruit kharide. Roj ka kharida hua fal roj khatam kar le. Ayesa karne se aapke fruits acche rahenge.

    Khane ko humesha dhak kar rakhe


    Dosto khane pine ke saman ko dhak kar rakhna bahut hi zaruri hota hain. Khane ko bina dhakkan ke rakhne se uss main dhul mitti se lekar najane kya kya padta rahta hain. Makkhiya etc uss khane main baithkar khane ko dushit kar deti hain. Uske baad woh bhojan khane layak nahi rah jata. Main baat toh yeh hain ki uss bare main hume pata nahi rahta hain. Hum ussi dushit khane ko sewan kar lete hain. Bahut sari bimario ka ayese hi shikar ho jate hain.

    Isiliye chahe jo bhi ho jaye lekin khane ko humesha dhakkan se dhak kar rakhna chahiye taki hum apne aapko. Apne parivaar walo ko bahut sari bimario se nizad dila sake. Aap logo se bhi hum yahi request karenge ki aaplogo khane pine ki cheezo ko humesha dhak kar rakhe. Garmi ho sardi har mausam main apne khane ko surakshit rakhe.

    Toh ab aap logo se aur kya kahe, bas iss post ko acchi tarah se read kariye. Garmi me aahar kaise rakhe yeh aap logo ko aaj ke iss post se aap logo ko achche se pata chal jayega.
    how to