MSCIT Ki Preparation Kaise Kare | Hindi Me Jankari In Detail

Share:



    MSCIT Ki Preparation Kaise Kare
    MSCIT Ki Preparation Kaise Kare

    MSCIT Ki Preparation Kaise Kare


    Aaj sabhi ke liye computer aana jaruri sa ho gaya hai, kyon ki jaise jaise technology badh rahi hai computer ki jarurat bhi itni hi badhti jaa rahi hai. Isme bade ho ya koi chota bhi sabhi ko aaj apne kaam computer se hi karne padte hai. Ya fir agar apko computer chalana nahi aata toh apko ye kaam dusro se karana padhta hai. Aaj ke time me agar aap computer literate nahi hai toh shayad apko sabhi kaam me kafi dikkato ka samna karna padhta hoga. Par iske liye ab maharashtra government ne pahal suru ki hai MSCIT se. Toh chaliye jante hai kya hai MSCIT, mscit ki preparation kaise kare.


    MSCIT kya hai


    MSCIT ka matlab hai "maharashtra state certificate in information technology".

    Is course ko MKCL ne 2002 me shuru kiya tha jisse computer illiteracy ko kam kiya ja sake or ab tak is abhiyaan se 1 crore logo ko joda hai. Jisme inhe computer se related basics ko sikhaya gaya hai. Kyon ki computer ki knowledge aaj sabhi ke liye jaruri hai. Ye is liye kiya gaya jisse log aaj ke jamane ke sath chal sake. Is course me bache ho ya senior citizens sabhi ke liye unke hisaab se knowledge di gayi jiska unko certificate milta hai. Iske liye ek examination bhi conduct hoti hai jishe clear karne par ek certificate diya jata hai jo kisi bhi company me valid hai. Toh chaliye jante hai is course se judi hui kuch or bate kaise aap isse jud sakte hai or kaise aap khud ko computer literate bana sakte hai.



    MSCIT admission process



    1. Sabse pahle iske liye apko kisi bhi MSCIT center jo apke najdeek padta hai vaha jana hoga. Iske liye aap apni city je najdeek ka center google se search kar sakte hai. Jiska apko pura address mil jaega.

    2. Ab apko vaha ek application form diya jaega. Ishe apko ache se pura bharna hoga dhayan rahe apko ye form MSCIT authorized center se hi fill karna hai. Iske baad apko yaha fees ki puri details bata di jaegi. Jise aap 3 modes se pay kar sakte ho online ya nfet ya jaise bhi.

    3. Apko yaha admission me lagne vale sabhi documents jab aap admiss karane jaye aome sath leke jaye. Kyon ki admission ke time apko iski jarurat padegi.


    • Isme apko ek toh id proof ki photocopy jis aap apke sign hone compulsory hai.

    • Passport size black and white photos ya color photos apke pas hone chayie.


    1. Admisson ke liye jaruri sabhi process or fees ke submit ho jane ke baad MSCIT alc coordinator apki sari details ko mklc software me upload kar dega. Iske baad apko ek fees ki receipt de di jaegi. Jo apko sambhal ke rakhni hai proof ke liye.

    2. Ab apko alc coordinator sabhi related books de dega, jisse apko padhna hai, books apko apke form me filled medium ke according hi milegi agar apne hindi bhara hai toh hindi varna english ya marathi.

    3. Apke pas study material aa chuka hai ab student yaha padna start kar sakta hai. Iske liye userid or password apko mil jaega jisse aap era se padh sakte hai. Sari studies apki online hi chalegi.

    Course duration


    Agar aap mscit ki preparation kaise kare soch rahe he toh is cousre ki duration months ki hogi. Is time me apka ye course pura ho jayenga or certificate ke liye apko ek exam ko clear karna hoga. Isme apke 2 type ke exam honge jinki details niche di gayi hai.


    Examination types


    Objective type


     isme apke ye topics aaege.



    1. Internet

    2. System software

    3. Input/output

    4. Secondary storage

    Practical



    1. Ms word

    2. Excel

    3. Powerpoint

    4. Internet explorer 7. 0 or mozilla

    5. Ms outlook 2013 ya mozilla mail

    MSCIT study components


    MSCIT me apko kafi kuch sikhne ko milega jiski kuch details apko niche di gayi hai. Is syllabus se apko samajh me aa bhi jayega ki exam ke liye mscit ki preparation kaise kare.


    Computer basics


    Isme apko computer ke sabhi basics ke bare me bataya jaega.



    1. Overview of computer

    2. Uses of computer

    3. Mouse ko use karna

    4. Keyboard se kaise type karna hai.

    5. Computer me hone vali input or output ki processing

    6. Computer ke software or hardware ki kuch knowledge.

    7. Apne computer ko kaise internet se connect kare.

    8. Kaise apne system se files ko transfer kare. Kaise aap apne data ko share kare. Jisse aap kahi bhi apne data ko kisi se le sakte hai or ya le sakte hai.

    Windows operating system(7)


    Isme apko windows 7 ko kaise use kare iski sari knowledge di jaegi, jiske kuch main feature niche diye gaye hai.



    1. Computer ko on kaise kare.

    2. Computer ko off kaise kare.

    3. Desktop ko kaise set kare.

    4. Calculator kaise use kare.

    5. Notes kaise banaye.

    6. Sare basics operation jo windows me hote hai apko isme bataye jaege, jinhe apko practical karna hoga.

    21th century ka life style


    Isme apko sare modern technology ko use krna bataya jaega.



    1. Paytm se kaise payment kare.

    2. Google playstore ko kaise chalaye.

    3. Online shopping kaise kare.

    4. Online bill kaise pay kare.

    5. Gmail par account kaise banaye.

    6. Password kaise create kare.

    7. Or bhi sabhi technical support jo apko life me jarurat hogi sabhi isme apko sikhayi jaegi.

    21 century study skill


    Isme apko aap kin resource ko use karke padh sakte hai apko details di jaegi.



    1. Google search se kaise padhe.

    2. Exam ke liye tutorial kaise dekhe.

    3. Youtube par educational videos kaise dekhe.

    4. Apni vocabulary kaise improve kare.

    5. Apni skills kaise badhaye.

    Microsoft word ko kaise use kare



    1. Isme documents kaise create akre.

    2. Ya fonts ko kasie change kare.

    3. Sabhi ke liye apko knowledge di jaegi.

    Powerpoint



    1. Isme apko kaise apni presentation ko banana hai.

    2. Kaise apko presantaion deni hai. Kaise aap pages banaye.

    3. Video presentation kaise banaye

    Excel



    1. Excel ko kaise use kare.

    2. Data ko manage Kaise kare.

    3. Apni sheets ko create Kaise kare.

    4. Kaise excel sheet me calculation kare.

    5. Sabhi basics knowledge isme batayi jaegi.

    Computer security and privacy



    1. Isme apko computer ki security ke bare me bataya jaega.

    2. Apne computer ko aap kaise secure rakhe.

    3. Computer se virus ko kaise hataye.

    4. Apne computer me antivirus kaise dale.

    5. computer ko hack hone se kaise bachaye. Jisse koi bhi unknown person apke computer system me koi chori ya apko nuksaan naa phucha sake. aap kaise apne system ko password se safe rakhe. Ye sabhi apko security me batayi jaegi. Jisse aap khud ko safe rakh sako.

    MSCIT course ko join karke aap apne computer ke basics se related jo bhi kaam aaj computer se kiye jate hai aap isme sikh sakte hai. Ye abi maharastra urban areas me shuru ho gayi jaldi hi ye centers ab rural areas me shuru ki jaegi. Jisse computer literacy badh jaegi or sabhi ek dusre ke sath chal payenge. Umeed he apko mscit ki preparation kaise kare detail me clearly samajh me aa gaya honga.



    Google Drive Kya Hai?


    how to