USB Power Bank Ki Jankari aur Power Bank Ke Types

Share:



    USB Power Bank Ki Jankari‌
    USB Power Bank Ki Jankari‌


    Aaj mobile, laptops or tablets ka kitna use hone laga hai ye toh shayad aap sabhi jante hi hai. Aaj har kisi ke pas apko costly mobiles or other smart devices mil jaenge. Kyon ki aaj apke sabhi kam devices par hi depend hote ja rahe hai Ye apke kaam bada hi aasan bana dete hai. Par itne sare fayde hone ke bad bhi ek kami ko aaj tak bhi koi bhi mobile ya laptop company dur nahi kar payi hai jo hai battery drain hone ki problem. Toh aaj ka humara topic he USB Power Bank Ki Jankari aur Power Bank Ke Types.

    USB Power Bank Ki Jankari‌


    Apka mobile ya koi bhi smart device chalta toh hai battery se hi. Par ye kafi jaldi discharge bhi ho jati hai or iski vajah se apko bahut preshani bhi uthani padti hai. Agar aap koi jaruri kaam kar rahe hai or apka phone discharge ho jaye. Aap kahi ja rahe hai or aap google maps se navigation kar rahe hai or beech me apka phone off ho jaye tih sayd se bat apse better koi nahi smjh sakta. Par is option bhi market me available ho gaya hai. Aap apne mobile ko kitna bhi use kare par apke pas humesha battery backup bana rahega USB powerbank ko use karke.

    Aaj sabse jyada is device ko use kiya ja raha hai kyon ki isme ek battery lagi hoti hai jo apko charge karni padhti hai Bas fir iski cable ko apko apne mobile ke charging jeck me insert karna hai. Apki charging shuru ho jaegi. Aaj kal market me apko kitne hi type ke USB powerbanks mil jaege. Iske liye apko niche kuch USB Power Bank Ki Jankari aur Power Bank Ke Types.


    USB Power Bank Ki Jankari aur types


    1. Fashionable and portable powerbanks


    Market me aajkal apko kuch bade hi attractive powerbanks mil jaenge. Inme apko kafi designs me milte hai jisse apke status me char chand lag jate hai. Kyon ki ek toh ye bahut sundar hote hai. Isme apko apka manpasand color mil jata hai or dusra ye itne chote hote hai aap inhe kahi bhi apne pocket ya purse me bhi bade aaram se rakh sakte hai. Apko bas inhe kuch time ke liye charging me plug in karna hoga. Iske baad aap inhe use karke apne mobile ko charge kar sakte hai. Ye apko different capacity ke mil jaenge. Ye jyada costly bhi nahi aate or apke budget me aasani se fit ho jate hai.

    1. Powerbanks with led

    Aajkal market me apko aise product jarur najar aate honge jo hote hai kisi or kaam ke liye par aap inse kitne hi kam kar sakte hai. Jaise apko kuch aise power banks bhi market me mil jayenge jo apke mobile ko charge to karege hi iske sath hi apko ek led torch bhi mil jati hai. Matlab agar apke sath apka power bank hai toh aap ek button press karke apne mobile ko charge rakhne ke sath sath torch bhi enjoy kar paenge or ye led ke sath aate hai toh inki light kafi bright bhi mil jati hai.

    Ye normal powerbanks se apko thode se jyada paise deke mil paenge. Par aap inhe multipurpuse ke liye bade aaram se use kar sakte hai. Ye bhi different capacity ke mil jate hai. Jisme jitni jada inme power ko store karne ki capacity hogi itni hi cost inki badh jati hai. Par agar aap travel kar rahe hai toh apke pas agar powerbanks available hai toh aap apne mobile ko jitna chay use kar sakte hai. Ye apke entertainment me koi kami nahi aane denge.

    1. Solar powerbanks


    Ye toh aap bhi jante hi hai ab jaruri nahi hai apke pas har time charging point available ho or aap apne mobile ya powerbanks ko charge rakh sake. Par phir bhi charging karne me apki energy toh lagti hi hai aaj market me aise powerbanks bhi aa gaye hai jo sunlight se charge hote hai. Iske liye apko light ki jrurat bhi nahi padegi apko ise kuch der sunlight me rakh dena hai. Ye charge ho jaega isme apko indicator mil jaega jab ye full charge ho jata hai.

    Iske bad aap ishe jaise sabhi powerbanks ko use karte hai apne mobile me insert karke apne mobile ko full charge kar sakte hai. Ye thode costly jarur aate hai par sabhi jante hai future me sabse jayada sunlight se chalne vale devices hi use kiye jaenge. Toh aap bhi apne environment ko agar pyar karte hai toh is type ke powerbanks apke liye best rahege. Bas apko thodi barish ya jab sunlight na ho preshani uthani pad sakti hai. Par ye apke mobile ya laptops ko full charge karne me capable hai.

    1. Smart tech powerbanks


    Is type ke powerbanks apko market me thode jyada price deke milege kyon ki ye bahut hi advance hai. Ye kafi high-tech bhi hote hai. Kyon ki in powerbanks se aap kisi bhi mobile ko charge kar sakte hai. Iske liye bas apko apna mobile powerbank se connect karna hoga or ye khud hi apke mobile ke hisab se apni output ko manage kar lete hai. Isse ek toh apki battery kharab nahi hogi or dusra apka mobile apko acha backup bhi dega. Ye powerbanks agar price ki bat kare toh abki powerbank se thode mahenge aate hai. Kyon ki apke mobile kafi mahenge hote hai toh ye apki battery ko jldi drain hone se bhi rokte hai.

    1. Quick charging powerbanks


    Apne dekha hoga aap apna mobile charging par lagate hai or ye charge hone me itna jada time lete hai or bahut jaldi drain bhi ho jate hai. Par aap is problem ko dur kar sakte hai. Iske liye apko quick charging vala powerbank use karna hoga or aap jab bhi apne mobile ko charge karne ke liye isse connect karoge toh apka mobile badi hi jaldi full charge ho jaega. Aaj smartphones ka use itna badh gaya hai ki aap apne sabhi kaam isse hi karne lage hai. Agar apko apna mobile charge par lagana hai toh iske liye apko apne mobile ko ek jagah rakhna padega or aap ise use nahi kar paoge.

    Par agar apke pas powerbank available hai toh iske liye apko kisi charging point ki jarurat nahi padegi bas apko apne powerbank ko apne mobile me USB ki help se connect karna hoga or ye apke mobile badi hi fast charge kar dega or aap apne phone ko bade maje se use kar sakte hai. Iske liye apko kisi jagah apne phone ko rakhne ki bhi jarurat nahi padegi. Aap kahi bhi ishe use kar sakte hai kyon ki ye bahut hi portabe hota hai or ishe aap sath me bade aaram se carry kar sakte hai.

    Hame puri umeed he ki apko USB Power Bank Ki Jankari aur Power Bank Ke Types thik se samajh me aa gaye honge.
    how to