Windows Driver Update Kaise Kare - Computer Tips | Full Guide

Share:



    Windows Driver Update Kaise Kare
    Windows Driver Update Kaise Kare

    Hello friends, aaj ka hamara important topic he Windows Driver Update Kaise Kare? Windows operating system aaj world ka sabse popular O.S. hai. Kyon ki ek toh ye sabse jada use karne me aasan hai or dusra ye bahut attractive bhi hai. Aaj windows 7, 8, 10 market me sabse jada use ho rahi hai. Par aap jab inhe use karte hai kabhi kabhi apko inhe use karne me preshani ka samna karna padta hai. Jaise apki screen ache se kaam nahi kar rahi. Ya fir apko apne system ki sound audio ya videos me dikkat aane lagti hai.

    Windows Driver Update Kaise Kare


    Kitni hi bar jab aap apne hardware se connection banane ki koshis karte hai. Ye sahi se work hi nahi kar pate. Iske piche reason hai agar apne windows ke drivers ko time par update nahi kiya hoga toh apko kuch time baad ye problems aane lagti hai. Kyon ki sabhi softwares ko sahi tarah se kaam karne ke liye time time par updation ki jarurat toh padti hi hai. Windows 10 me ab drivers ko update karna bada hi easy ho gaya hai. Isme aap direct windows ke driver ko update kar sakte hai.

    Kyo karte hai drivers ko update


    Windows me kuch time baad hi sabhi softwares me updation hoti rahti hai. Jisse ve current sabhi websites ya system ya softwares or hardwares ke sath ache se kaam kar paye. Agar aap apne drivers ko up to date rakhte hai toh apko apne system ko use karne me koi problem nahi aaegi. Par agar apne drivers update nahi kiye toh apko apne system se kaam karne me dikkat aa sakti. Toh is problem se bachne ke liye apko janna hoga kaise aap apne drivers ko update kar sakte hai.

    Windows Driver Update Kaise Kare


    Ap apne drivers ko 2 aasan tariko se update kar sakte hai jisme ek toh hota hai apko kisi third party apps ka use karna hoga jo apke system ke sare drivers ko scan kar degi or aap yaha se apne drivers phir update kar sakte hai. Dusra aap bina kisi software ke apne system se hi apne drivers ko update kar sakte hai. Iske liye apko jada mahnat nahi karni padegi. Toh chaliye jante hai kya hai ye 2 tarike jinse aap apne drivers ko update kar sakte hai. Sabse pahle jante hai kaise apne system se apne drivers ko update kare iske liye niche diye gaye steps ko follow kare.

    Apne computer se Windows Driver Update Kaise Kare


    1. Sabse pahle apko apne system ko on karna hoga or ushe ek internet connection se connect karna hoga. Ab apke samne screen par apko “start”button par click karna hoga. Apke click karte hi apke samne kafi sare options khulke aa jaenge. In sabhi option me apko “control panel” ka option dekhna hoga. Apko in options me ye aasani se mil jaega.

    2. Ab apko control panel ko open karna hoga. Yaha apko kuch or options najar aaenge. Ab in options se apko “hardware & sound”ka option najar aaega. Uske baad apko is option par click karna hai. Ab apke samne kuch new options aayege. Yaha apko in sabhi options me apko “device manager” ko search karna hai. Ab ishe open karna hai. Yaha apko apne drivers ki list najar aaegi. Yaha apko apne computer me jitney bhi drivers chay vo computer ke ho, bluetooth, hard disc sabhi is list me honge.

    3. Ab apko inme se sabhi ko eke k karke open karna hai apke samne sabhi drivers ke component aa jaenge. Ab apko jo bhi driver dikh raha hai ushe select kare. Apke samne upar kuch buttons honge apko unme se ek update ka sign dikhega apko scroll karne se sabhi buttons ka pata lag jaega konsa button kis liye hai. Ab apko apne update option par click karna hoga. Apke samne 2 options aaege isme se ke hoga jisse aap apne driver ko automatic update kar sakte hai. Iske liye apko kisi bhi site par nahi jana padega sare kaam apka system khud kar dega. Sabse pahle apka system check karega agar apka driver up to date hai toh apko ye show ho jaega apko bas close option press karke isse bahar aana hai. Agar driver update nahi hai toh apka system khud se ishe pahle download kar dega or phir ishe install bhi kar dega. Ishi tarah aap ek ek driver ko check karte rahenge. Job hi driver update nahi hai aap ushe update kar sakte hai.

    4. Dusre tarike me apko manually sab karna hoga. Yaha apko pahle driver ko download karna hoga or uske baad apko ishe update karna hoga ishe bhi aap apne system ke drivers ko update kar sakte hai.

    Market me aaj aise third party softwares ya tools bhi available hai jo apke system ke drivers ko scan karke apke sabhi drivers ko update kar dete hai toh chliye jante hai aise tools ke bare me.

    Softwares se Windows Driver Update Kaise Kare


    Iske liye apko apne system me koi driver update tool dalna hoga jo time time par apke drivers ko update karta rahega. Toh chaliye jante hai apko ye kaam kaise karna hai.

    1. Iske liye apko apne system google par jake “snailsuite” software ko search karna hoga. Apke samne bahut sare links ishe download karne kea a jaege ab apko kisi bhi link se is software ko download karna hoga. Ab next button press karke ishe install kare.

    2. Ab apko is software ko apne system me open karna hoga. Apke samne kafi sare options aa jaenge yaha apko ek scan option par click karna. Ab ye software apke system me install sabhi drivers ko scan karega or jis bhi driver me update available hai vo sabhi drivers apke samne show ho jaege.

    3. Ab apko yaha inhe update button par click karke update ko shuru karna hoga. Apke sare drivers ek ek karke pahle download honge or phir ye apke system me install ho jaege. Aise hi apko apne sabhi drivers ko ek ek karke update karna hai.

    Apke drivers ek bar update hone ke baad apko apne system ko restart karne ka notification show hoga. Ab apko apne system ko restart karna hai jisse apke sare drivers ache se apke system me install ho jaye or aap aaram se apne system ko use kar paege. Ek bar drivers update hone ke bad apke system ki sari problems du rho jaegi agar vo drivers se related thi toh. Isse alag phir bhi apka system agar problem karta hai toh iske liye apko phir or options dekhne honge.

    Umeed karte he apko aaj ka article Windows Driver Update Kaise Kare pasand aur samajh bhi aaya honga. Upar batayi gayi tricks best hai inhe use karke aap apne system ko always update rakh sakte hai. Isse apko phir apne system ko use karne me problem bhi nahi aaegi.
    how to