Windows Firewall ON OFF Kaise Kare - Computer Security

Share:



    Windows Firewall ON OFF Kaise Kare
    Windows Firewall ON OFF Kaise Kare


    Hello Friends, aaj ka hamara computer related topic he Windows Firewall ON OFF Kaise Kare? Aaj sabhi apne computer me istemaal toh karte hi hai. Par isse apki privacy bhi effect hoti hai. Jab aap kisi bhi website ko apne system me open karte ho toh kuch websites aisi hoti hai jo apke system me virus ya malicious software ko install karne ki kosis karti hai. Isse apke system me virus enter ho jata hai. Apke system ko corrupt karna shuru ho jata hai.

    Windows Firewall ON OFF Kaise Kare


    Aap kisi website me pata nahi laga sakte hai. Kis file me apko virus milega ya konsi apke liye safe. Kyon ki aaj aap sabhi apne computer se online videos ya online games ko khelna pasand karte hai. Yahi hackers kosis karte hai. Jisse apke system me ve koi software install kar sake ya koi virus apke system me enter kara sake. Aap jab online game khelte hai toh apko kabhi kabhi aise pages apko mil jaege jo apko kuch offers serve karte hai. Jisse apko koi discount ya kuch aur achi scheme milti hui dikhti hai.

    Aap bina kuch soche samjhe kabhi in softwares ko install kar lete hai. Par isse apki privacy break ho jati hai aur virus apke system par attack kar dete hai. Ye apke data ko chori bhi karte hai. Apke data ko ye hackers ko bade aaram se send bhi kar dete hai. Apko iska pata tak nahi chlata apke system me ho kya raha hai. Par aaj agar aap windows use karte hai toh apko isme “Windows Firewall” ka option milta hai jishe enable karke aap apne system ko internet par safe rakh sakte hai. Toh chaliye jante hai kya hote hai firewall and aap Windows Firewall ON OFF Kaise Kare.

    Firewall Kya hote hai


    Firewall utility programs hote hai jo apko jab bhi aap apne computer ko internet se connect karke kuch bhi browse ya download karte hai toh ye apko vaha safe rakhta hai. Ye apke computer me aane vale sabhi virus ya unauthorized access ko block kar dete hai. Ya aap agar apne computer ko file share karne ke liye kisi dusre network se connect karte hai toh ye apke system me viruses ko aane se rokta hai.

    Agar apke system me virus pada hai toh ye apke system se virus ko dusre system me bhi jane se rokta hai. Ye sari websites ke sabhi un features ko block karke rakte hai jisse apke system me koi bhi virus ya software attack kare. Ye apko windows me inbuilt bhi milta hai par agar ishe chay toh kisi Third-Party se bhi le sakte hai. Iske sare features apke computer ko safe rakhte hai jisse apko privacy me koi compromise nahi hota.

    Aap firewall ko apne hisab se manage bhi kar sakte hai. Agar aap kisi program ko firewall se allow karna chahate hai toh apko iske liye firewall ke kam karne ke tariko ka pata hona chayie. Toh chaliye jante hai kaise aap apne system me firewalls ko manage kar sakte hai. Iske liye niche kuch detils di gayi hai.

    Windows Firewall ON OFF Kaise Kare


    Firewall ko aap apne tarike se manage kar sakte hai iske liye apko niche diye steps ko follow karna hai.

    1. Sabe pahle apko apne computer system se start button par click karna hoga. Yaha apke ek “All Programs”ka option aaega. Apko is option par click karna hoga. Isse apke samne apke computer ke sabhi programs ki list aa jaegi.

    2. Ab apko in programs se control panel ke option ko search karna hoga. Is kam ko aap direct windows mw search option me “control panel”likh ke search karna hoga apke samne control panel ka option aa jaega. Ab apko is option ko click karke open karna hai. Apke samne ek new window open hoke aa jaegi. Yaha ab apko system security option najar aaega. Apko is option ko open karna hai.

    3. Ab apko yaha “Windows Firewall” ka option najar aaega apko is option ko open karna hai. Isme apko left side me windows firewall ON ya OFF karne ka option dikhai dega. Ab apko is option ko open karna hoga. Vaise toh default apka firewall ON hi rahta hai. Par yaha se aap ishe ON ya OFF kar sakte hai. Ab bas apko agar ishe disable karna hai to hap ishe OFF kare. Agar apko ishe enable karna hai to hap ishe ON kare. Aise aap apne firewall ko control kar sakte hai. Par aap isse alag bhi firewall ke kuch features ko use kar sakte hai.

    Firewall Ko Off Karke Hone Vale Nuksaan


    Agar aap apne firewall ko OFF kar dete hai toh isse apke system me virus ya hacker ke attacks bhi badh jate hai fir koi bhi program apke system se unauthorized access kar sakta hai. Toh agar apke system me koi other antivirus install nahi hai toh ishe disable nahi karna chayie. Kuch programs hote hai jinhe Keyloggers kahte hai. Ye apke system me enter ho jate hai isse apko pata bhi nahi lagta kyon ki ye kisi bhi program ke sath aatach hoke apke system me install ho jayenge. Phir ye apki sari activities par najar rakh sakte hai.

    Isse agar aap apne system se payment karte hai apne debit ya credit card se toh ye apke card number ya iske pin ko access karke hacker ko bhej sakta hai. Toh apko agar apne system ko isse bachana hai toh apke liye jaruri ho jata hai apne system me firewall ko enable rakhna. Par kabhi aap third party apps ko kisi kaam ke liye use karte hai toh Firewall iske features bhi block kar deta hai aise me kya kare. Iske liye niche solution diya gaya hai jisse aap is kaam ko kar sakte hai.

    Apne Program Ko Firwall Se Block Hone Se Kaise Roke


    Jab aap kisi bhi untrusted software ko use karte hai toh. Toh ye apke system ke kuch features ko access karte hai toh firewall inhe ye access lene nahi deta. Aap in softwares se apna kaam nahi kara pate toh iske liye aap in programs ko Firewall se allow kara sakte hai iske liye apko niche diye steps ko follow karna hai.

    1. Windows firewall option ko click karke open kare.

    2. Yaha apkoapne system se Allow a program through windows firewall ka option najar aaega. Apko isme jake apne sare programs ki list najar aaegi.

    3. Ab apko is list se apne program ko search karke un select karna hai. Ab apka program apne sare kaam aaram se kar sakta hai ab Firewall ishe block nahi karega. Isse apka system safe bhi rahega or apka kaam bhi ho jayega.

    Ab toh aap samajh chuke honge ki Windows Firewall ON OFF Kaise Kare.
    how to