Windows Me Action Center Kaise Use Kare - Win 10 Tips

Share:



    Windows Me Action Center Kaise Use Kare
    Windows Me Action Center Kaise Use Kare

    Computer ko use karna ab bada easy ho gaya hai. Aaj roj koi na koi aisa feature windows me add hota rahta hai. Jisse humara computer attractive toh lagta hi hai. Isse apke liye apne system me kam karna easy ho jata hai. Aap jab bhi apne computer me kaam karte hai toh agar aap window 10 use karte hai apko kuch notification aate rahte hai. Jaise agar apne koi software install kiya ya apke system me kisi update ki requirement hai. Ye sab kam apke windows me action center se control hote hai.

    Windows Me Action Center Kaise Use Kare


    Windows 10 aaj action center ke sath aane laga iski vagah he agar aap apne computer se pyar karte hai toh ye apke system ko apke aur kareeb le aaega. Apke computer me notification ka home action center hi hota hai. Yaha aap apni marzi se kisi bhi software ko quick open karne ke liye add kar sakte ho. Iska matlab hai ki aap jaise chay ishe customize kar sakte hai. Apne hisab se use kar sakte hai. Agar aap apne computer me notification bhi control karna chahate hai toh iske liye apko action center se ishe control karna hoga.

    Toh chaliye jante hai aap apne windows 10 me kaise apne notification ko control kare. Windows me action center ko apne according customize kare. Iske liye niche kuch action center ke uses ki kuch details di gayi jisse aap apne computer ko aur bhi better and smart bana sakte ho. Jisse apka computer kisi or ke computer se kafi bahtar bhi lagega and apke liye smart work bhi karega.

    Windows me action center customize kaise kare


    Ap apni need ke according sabhi kuch action center me add kar sakte hai. Ise control bhi kar sakte hai iske liye niche kuch action center ko use karne ke tips bataye gaye inhe follow kare.

    Action center me quick action kaise change kare


    1. Iske liye sabse pahle apko apne system se "start menu" jo apki screen ke left bottom me apko najar aaega. Apko is par click karna hoga. Apke samne kafi sare option aa jaege. Ab apko yaha niche hi left me settiing icon show hoga. Apko setting ko click karna hoga. Apke samne settings ke kuch menu open hoke aa jaenge.

    2. Ab yaha apko "system" option show hoga. Apko is par right click karna hoga. Apke samne ek new window open hogi jisme apko "notification and actions" par click karna hoga.

    3. Yaha ab apko 4 box dikhai denge jisme se apko jis bhi "quick action " par click karna hai aap choose kar sakte hai. Apke samne yaha kuch options show honge apke inme se select karna hai.

    Windows me action center se tips hide kaise kare


    1. Iske liye apko apne system se setting ko open karna hoga.

    2. Ab apko ishi option me system me jana hoga. Iske liye system par click karke open kare.

    3. Ab apko yaha notification and actions me jana hoga iske liye right click kare or ishe open kare.

    4. Ab yaha apko show me tips about windows option show hoga. Apko ishe enable se disable par switch karna hoga. Apke system me windows tips ke notification aane band ho jaege.

    Application ke notification kaise off kare


    1. Iske sabse pahle start menu par click kare.

    2. Ab apko yaha setting ko open karna hoga.

    3. Fir apko isme system ko open karna hoga.

    4. Ab apko yaha notification and action ko open karna hoga.

    5. Yaha se ab apko show app notification ko off karna hoga.

    Windows Me Action Center Kaise Use Kare


    Action center me apko notification aur quick action mil jate hai. Jinhe aap apni marzi se use kar sakte hai. Toh chaliye jante hai aap ishe kaise use kare.

    1. Agar apko apne system ki bluetooth ko open karna hai. Iske liye apko apni system ki settings me jana padhta hai. Par aap ishe apne quick action me add kar sakte hai. Isse aap direct apne system ke desktop se action center icon par click karke aap apne system ki bluetooth ko direct file ko send or receive kar sakte hai.

    2. Wi-fi ke liye apko wireless settings me jane ki koi need nahi hai aap ishe direct apne system ke windows me action center se access kar sakte hai. Iske liye bas apko apne action centre ki settings me jake quick action me wifi option ko add karna hoga. Ab aap ishe direct apne desktop se access kar sakte hai.

    3. Aap apne system ki brightness ko direct decrease ya increase kar sakte hai. Iske liye bas aap apne system se action center icon par jana hoga. Ishe click karke aap brightness ko adjust kar sakte hai. Yaha se apko direct setting ka option mil jata hai.

    4. Aap apni battery ko bhi action center ki help se save kar sakte hai. Iske liye apko apne quick action me add karna hoga. Ab apko bas action center me jake ishe open karke apni battery lo save kar sakte hai bas apko battery saver ko on rakhna hoga.

    5. Agar aap apne system ki sari settings ko direct access karna chahate hai toh aap ishe action center ko open karke all setting option ko choose kar sakte hai. Yaha se aap sidhe apne system ki settings me jo bhi apko change karna hai kar sakte hai.

    6. Agar apko apne system ko sabhi network se disconnect karna hai toh apko iske liye apni settings me jake airplane mode ko activate karna padhta hai. Par is option ko apne quick action me add karke bas ek click se apne system me airplane mode activate kar sakte hai. Apne system ko sabhi network se disconnect kar sakte hai.

    7. Agar aap apne computer system me location ko on rakhna chate hai toh aap ishe as a icon apne action center me rakh sakte hai. Jisse agar kabhi bhi apko apni location ko access karne ki jarurat pade aap direct ek click se apni location ko on ya off kar sakte hai. Iske liye apko bas apne action center ko open karke location option ko select karne ki jarurat hai.

    Isse alag bhi jo bhi shortcut option apne system me add karna chahate hai toh aap ishe apne action center se kar sakte hai. Agar apka windows me action center apke according work karega toh apko apne system me work aur bhi acha lagne lagega. Action center ko customise karke aap jo bhi tasks isme apko add karni hai kar sakte hai. Iske liye apko bas action center settings aani chayie.
    how to